Friday, April 19, 2024
HomeEntertainmentKhiladi ke baad Minakshi chaudhry ab Salar mein bhi

Khiladi ke baad Minakshi chaudhry ab Salar mein bhi

Hyderabad: Hum jaante hain ke is waqt jis film ka shayeqeen be sabri se intezar kar rahe hai woh parbhas ki film Salar hai jo is waqt production ke marhale mein hai. Chunke is film ki hidayat KGF film ke shohrat yafta director parshant neel de rahe hain. Is liye is film se tawaqquat bohut zyada hai.

Aane wali is film ko bohut mashhoor action drama filmein banane walo ne tayyar kiya hai jis mein markazi khatoon kirdar mein Shruti hasan hain ab film mein dusri khatoon markazi kirdar adaa karne ke liye adakara Meenakshi chaudhry ko shamil kiya hai. Meenakshi chaudhry ek adakara model aur khoobsurati ke muqable ka khitab hasil kar chuki hain.

Meenakshi ne adakari ka agaaz telugu film achata wahanamu nilo pardu se adakar sushant ke saath kiya. Woh fil haal Ramesh warma ki hidayat Kari mein maas maharaja rawi Teja ke saath apne action drama khiladi mein parde par apni adakari ke Joher dekha rahi hain.

Woh Mike bartalet ke director foster par mabni ek Hindustani series out of low ka bhi hissa hai. Daree asnaa Salar ke alawa Prabhas Bollywood adakara Deepika Padukone ke saath naag Ashwin ke hidayat Kari mein banne wale project K mein nazar aayeinge. Unke saath Radha Krishna Kumar ki Radhe shyam bhi parbhas hain aur is film mein pooja hegde ne markazi kirdar adaa kiya hai jo agle saal cinema theaters ki zeenat baneigi.