New Delhi : Hindustan mein haliya munaqidah lok sabha ke 17th intikhabaat mein khawateen umeedwaron ki chandi hi chandi hui aur is martaba 78 khawateen ne kamyabi haasil karte hue nai tareekh raqam ki hai. yeh pehla mauqa hai ke Hindustan mein record tadaad mein khawateen arkaan muntakhib hui hain, is se qabal 2014 mein 64 khawateen muntakhib hui theen. lok sabha ke intikhabaat mein kamyaab honay wali Maroof khawateen mein Sonia Gandhi, Smriti Irani, Maneka Gandhi, Kiran Kher, Nusrat Jahan Rohi , Sajida Ahmed , Hema Malini, Ramiya Haridaas, Mimi Chakraborty, Pragya Thakur singh, Muthu veil kaneez Mozi aur Rita Bhigona Joshi shaamil hain .
Is martaba lok sabha intikhabaat mein majmoi tor par 700 se zayed khawateen ne intikhabaat mein hissa liya tha jis mein se sab se ziyada 54 khawateen ko congress ne ticket diya tha. congress ke baad khawateen ko ticket dainay wali siyasi jamaaton mein dosray number par intikhabaat mein kamyabi haasil karne wali jamaat Bhartiya janata party ( BJP ) rahi jis ne 53 khawateen ko ticket diye they. sab se ziyada khawateen malik ki sab se badi riyasat Uttar pradesh aur dosray number par maghribi bangal se kamyaab hui hain. dono riyaston se tarteeb waar 11 khawateen arkaan kamyaab huien.
Tafseelaat ke mutabiq 17th Lok Sabha ke liye 542 arkaan mein se 78 khawateen arkaan kamyaab hui hain. Angrazeo se azaadi haasil karne ke baad yeh pehla mauqa hai ke Lok Sabha mein itni tadaad mein khawateen pohanchi hain. no muntakhib khawateen mein kuch khawateen musalsal intikhabaat mein kamyaab hui hain, taham kayi khawateen pehli martaba bhi lok sabha intikhabaat mein kamyaab hui hain. khawateen ki Record saaz kamyabi ke baad is martaba Lok Sabha mein khawateen arkaan ka hissa 14 feesad hoga jo Hindustan ki sab se badi aqliat musalman ke hissay se bhi kayi gina ziyada hai .
Muntakhib honay wali 78 khawateen mein sirf 2 musalman khawateen shaamil hain aur dono musalman khawateen riyasat maghribi bangal se All India Trinamool congress ( AITC) ki ticket se kamyaab hui hain. is martaba lok sabha ke intikhabaat ladnay wali 700 se zayed khawateen mein 220 khawateen azad umeed waar ki hesiyat se maidan mein utrein theen . – YTN STAFF