Sunday, May 19, 2024
HomeIndiaKhawateen Pilots ka pehla Batch Hindustani behria ke Dornier tayyaray udane ke...

Khawateen Pilots ka pehla Batch Hindustani behria ke Dornier tayyaray udane ke liye tayyar

Kochi: Hindustani behria Dornier tayyaray mein tamam Operational Missions ke liye khawateen Pilots ki pehli khip haasil karne ke liye tayyar hai aur is terhan khawateen Pilots apni khidmaat faraham karne ke liye pur azm hain.

3 khawateen Pilot New Delhi ke Malviya Nagar se Lieutenant Divya Sharma, Uttar Pradesh ke Talhar se talluq rakhnay walay Lieutenant Shubhangi Swaroop aur Bihar ke Muzaffarpur se Lieutenant Shivangi ne Dorniers operational Flying Training ( DOFT ) Course mukammal kiya aur farigh ul thesil hain. Yeh Batch mukammal tor par tayyar hai neez woh un 6 Pilots mein shaamil thay jo Dornier tayyaray mein Missions ke liye qualify kiya tha.

Southern Navel Command ( SNC ) ke Chief Staff Officer ( Training ) Rear Admiral Anthony George ne Pilots ko Awards pesh kiye. Afsaraan ke khawateen Pilots naye Batch ne ibtidayi tor par hindustani fazaiya ke sath aur juzwi tor par behria ke sath DOFT Course mein shamoliat se qabal bunyadi parwaaz ki tarbiyat haasil ki thi. 3 khawateen Pilots mein, Lieutenant Shivangi 2 December 2019 ko behria ke pilot ki hesiyat se qualify karne wali khatoon Pilot then.

Yeh Course 1 mah taweel zameeni tarbiati marhalay par mushtamil hai, Jo SNC ke mukhtalif professional schools mein aur 8 mah ki flying training braay southern navel command ke Dornier Squadron ke sath liya gaya tha. Lieutenant Divya Sharma aur Lieutenant Shyam Pandey bal tarteeb’ Flying mein First aur Ground mein first muntakhib hue. Lt Kumar Vikaram ko intehai hosla afzaa trainee ke liye flag officer Commanding in Chief (South ) Rolling Trophy pesh ki gayi.