Saturday, May 10, 2025
HomeSliderKhawateen ke bhais mein awam ko loatne wali touli giraftar

Khawateen ke bhais mein awam ko loatne wali touli giraftar

Riyadh: Saudi Arab mein Riyadh Police neh Khawateen ke bhais mein awam ko loatne wali touli giraftar . Social media par zanana libaas ki tasaveer aur khaas talluq qaim karne ke liye pur kashish jumlay istemaal kar rahay they.

Website ke mutabiq wizarat dakhla neh Snapchat ke apne Account par bayan mein bataya ke ye behropie nojawanon ko jhansa day kar bulaa letay they. Un se naqad raqomat aur gadiyaan chean kar faraar ho jatay they. Alawa azeen inhen majaboor karkay un se ATM Card chean letay aur un se khufia number le kar raqmin nikaalne ki vardatin bhi kar rahay they.

Riyadh Police ne mukhtalif reports milnay ke baad giroh ki giraftari ki scheme tayyar ki aur bil aakhir un taq rasai haasil karli aur khawateen ko loatne wali touli ku giraftar karliya. Tenu nojawanon ki omrein 20 taa 30 saal ke darmain hain. Unhoun ny 2 wardaton ka aitraaf kiya hai. Police ny un ki shanakht zahir kiye baghair mazeed bataya ke mushtaba afraad, Jin ki omrein 20 ki dahai ke hain, Mobayyana tor par mutasireen ko apne Bank Account zahir karne aur raqam zabt karne par majaboor karti theen. Alawa azeen ek gaadi cheennay aur 9 hazaar riyal qabzay mein karne ki waardaat bhi tasleem ki hai. Security Force ne teenu ko hirasat mein le kar qanooni karwai shuru kar di hai.