Sunday, May 5, 2024
HomeIndiaKhawateen Judges ki tadaad badhaane ki wakalat

Khawateen Judges ki tadaad badhaane ki wakalat

New Delhi: Attorney general ke ke venugopal ne khawateen par badhtay tashadud ke waqeat ko roknay ke liye adalaton mein khatoon Judges ki tadaad badhaane ki waqalat ki hai. Venugopal ne mulzim ko mutasirah se rakkhi bandhwane ki shar toy par zamanat diye jane ke Madhya pradesh high court ke faisla ke khilaaf dair darkhwast mein apne tehreeri halaf naame mein adalaton mein khawateen ki tadaad badhaane ki waqalat ki hai.

Unhon ne kaha ke adliya mein khawateen ki numaindagi ko behtar bananay se jinsi tashadud se mutaliq muqadmaat mein ziyada mutawazan aur baakhtyar andaaz ikhtiyar kiya jasakayga.

Unhon ne kaha adalaton mein khatoon Judges ki tadaad unke huqooq ka khayaal rakha jana chahiye, taakay khawateen ke khilaaf honay walay juraim aur unse mutaliq muqadmaat par sakhti se karwai ki jasakay.

attorney general ne misaal dete hue kaha ke adalat Uzma mein sirf do khawateen judge hain jabkay yahan Judges ki Manzoor shuda nishistain 34 hain. Azadi ke itnay barson badkoyi bhi khatoon cheif justice of India nahi bansaki. Madhya pradesh high court ke faislay ke khilaaf advocate aparna Bhat aur aath deegar khawateen wukla ki janib se special live petission ( SLP) ki darkhwast dair ki jis mein

attorney general se madad ki appeal ki gayi hai. Venugopal ne kaha hai ke mulk ke high courts aur Supreme Court mein 1113 Judges ke Manzoor shuda ohdon mein se sirf 80 khatoon judge hain. un 80 khatoon Judges mein se do Supreme Court mein aur deegar 78 mukhtalif high courts mein hain jo Judges ki jumla tadaad ka sirf 7.2 feesad hai. attorny general ne apne halaf nama mein zamanat ki sharait, Judges ko di jane wali tarbiyat aur aisay muqadmaat mein khawateen Judges ki tadaad ke baray mein sawalaat uthaye hain. halaf naame mein appeal ki gayi hai ke adalat ko jinsi zayad-ti ke kisi bhi maamla mein ilzamaat ki sangini ko samajte hue shadi jaisay faislay nahi diye jane chahiye. sirf yahi nahi zamanat ki appeal mein bhi mutasirah ki security ka khayaal rakha jana chahye.