Saturday, May 18, 2024
HomeExclusiveKhatraat - Lockdown ke baad

Khatraat – Lockdown ke baad

Hyderabad: Lockdown ke baad jin halaat ka samana hoga bohat kam logoun ko is ka ilm hai. Bilkhushoos Musalmanoun ko jin ka takdeer par itna andha Imaan hai ke jab tak museebat sar par nahi ajati, Wo aaraam se sona chahtay hain. Suna hai hamaray ek badshah salamat ne bhi yahi kiya tha. Jab un ki khidmat mein dast basta hokar ye arz kiya gaya ke Angraiz ab Delhi ki taraf badh raha hai to unhoun ne farmaya tha ke  ”Delhi daur ast“ Yani Delhi abhi daur hai. Nateeja? Nateeja aap ke samne hai. Agar aap apne buzurgoun ki maazi ki bhayanak ghalatiyan duhrana nahi chahtay to un umoor par ghhor farmaye

Pehla khatrah: Lockdown ke baad har cheez ki qeematein aasman ko chone lagengi. Kyunkay dokandaroun ko 3 mahine ke nuqsaan ki pabajyi karni hai. Is ke bad jab Factories aur Industries khulengi to doosri reyastoun ke worker pata nahi wapas ayenge ya nahi. Products kam hojayiga aur demand ziyada hojayiga jis ke nateejay mein Black Marketing aur qeematoun mein mazeed izafah hojayiga. Middle Class aur ghareeb Class jin ki pehlay hi jeben khaali hochuki hain un par kiya guzraygi aap andaza lagasakte hain is ke ilawa jab factory ka maal market mein kam hojayiga to quality badter hojaegi. Kam qemat par begne wala naqli maal market mein phail jaayega. Bilkhushoos khane peene ki naqli ashya jab har taraf phail jayengi to logoun ki dawakhane kitney abad hojayinge is ka andaza kiya ja sakta hai.Is ko rokne ke liye rishwat ko khatam karne wali ek sakht hukoomat chahiye.

Dosra khatrah: Senkdoun companiyon aur Factories ke band hojane ka khatrah hai. Hazaroun ki nokriyan chali jayengi. Jab tak dobarah nokriyan bahaal hon, Kayi ek ya to khudkushi karne ya phir Crime karne par majaboor hojayinge. Lockdown mein ek maslay ko khoob hawa di gayi. Gulf mumulk ke ahem zimma daaroun ne jab kuch Hindu on ko Islam aur Musalmanoun ke khilaaf zeher afshani karne ke jurm mein mulk se nikaal diya, Aur tanbiya ki ke jis terhan Gulf mein lakhoun Hindu ko bulaa lehaaz mazhab kaam karne aur kamane ka mauqa diya jata hai isi terhan Hindustani hukoomat ko bhi chahiye ke apne mulk mein Musalmanoun ke sath hone walay taasub aur firqa parasti ko rokay. Is waqea ka faida utha kar fashestoun neh hindostan mein musalman mulazmeen ke khilaaf fiza banani shuru kar di thi. Ab lockdown ke baad paida hune wale, Nokiyan ke mamle hai ye saaray firqa parast apna kaam deikhein ge aur musalmanoon ko nokriyon se nikalwane ke liye bharpoor koshishen karaingay. In Inflation   ju saqt khatraat se nepatne ke liye ek achi, Imandaar aur taleem yafta hukoomat jo tasbat se pak ho, Wo darkaar hoti hai. Ye kahan se aayege aap anchi tarah se jante hai.

Teesra Masla:  hukmat ne bijli aur pani ke bill nah daine ki riayat zaroor di hai lekin maaf nahi kiye. Bankoun ne qarzon ki qesten nah daine ki riayat zaroor di hai lekin maaf nahi kiye. Makaan daaroun ne kiraya daaroun se karaye nahi liye lekin maaf nahi kiye. Khud sarkari mulazmeen ko sarkar aadhi thankhowa ada kar saki to andaza lagaya ja sakta hai ke private sector mein kiya huwa hoga aur rozana ki dhadhi walay mazdooron ka kiya huwa hoga. Ab ye loog paisa laynge kahan se ? Choutha masla:  Ye Corona se kahin ziyada bhayanak ho sakta hai. Locusts ke hazaroun Jhund jo hindostan ki taraf badh rahay hain. Ye mulk ke ekkhatarnaak qehat saali ka shikaar kar saktay hain. Pehlay hi Rajasthan aur Madhya Pradesh mein jis waqt tak ye mazmoon likha ja raha hai 50 hazaar acres ki faslein tabah kar chukay hain. Ye Tedde ekdin mein 35 hazaar insanoun ki ek din ki ghiza ek din mein barbaad karti hain. Un Teddiyan ki pasandeeda ghiza taaza faslein hoti hain. Dua kijiyej ke Allah taala un ka rukh moud day jis terhan aksar tufanoon ka rukh palat jata hai. Hindustani agg hindustani Agriculture Expects ka kehna hai ke June ka pehla aur dosra hafta hindostan ke liye khatarnaak saabit hoga. Ye Tediya agar ek maheena bhi zindah rahen to hindostan ki 6 mahine ki ghiza ko khatam kar deingi.

Is ka hal kya hai? Hal ye hai ke hukmaran azabِ Ellahi kiya hai ye samjhain, Ahedِ Moosa mein bani Israel ke na farmanoon par jin mein gaaye ki parastish karne walay nafarman bhi shaamil they Allah taala ne un par Teddiyan ka azaab kyun nazil kiya tha, Iss ko samjhain. Is ka tazkara Quran mein bhi hai aur Bible mein bhi. Lekin ye samjhane walay kahan se ayenge aur samajhney walay hukmaran kahan se ayenge is ka andaza aap khud kar saktay hain.

Chunkay ye Teddiyan Amman ke sahraoon se hoti huvi Iran aur Pakistan se guzar kar hindostan mein daakhil horahee hain, Is liye jin logoun ne Tableeghi jamaat ke waqeya ko le kar corona ko musalman banadiya aur mulk ki fesay ko zeher alood kardiya, Ab wahi loog Teddiyan ko le kar Pakistan ki saazish ke naaray lagana shuru kar chukay hain. Arnab Goswami ne TV channel par zeher ugla aur hukoomat ab tak khamosh hai. Agarchay ke mulk ki aksariyat ka taleem yafta tabqa is jahilana ilzaam ko radd karchuka hai balkay Arnab Goswami ko dutkar chuka hai, Lekin Bhugto ki TV Chennels ne aisay zahreeley Anchors ki Jay Jay Kar karni shuru kar di hai. Agar Teddiyan ke dil hindostan ki taraf aana nah ruُke to ye firqa parast mulk ke aman aur salamati ke liye corona aur Teddiyan se bhi ziyada khatarnaak saabit ho saktay hain. Panchawan khatrah: Lockdown ki wajah se NRC, CAA waghera ke jo saanep bِlon mein dubak gaye they, Wo apne Phone nikaalte be chain hain. Un ki sansnahat phir se sunai daine lagi hai. Un ke ilawa bhi kayi aur saanp hain jo jo bahar ane ke liye be chain hain. Chunkay media par yun bhi pehlay hi se sakht lockdown tha, Ab is corona ke lockdown nemadaroun ko aur mauqa faraham kardiya. Is douran qanoon ki khilaaf warzi karte hue Shaheen Bagh ka badla laine kitni giraftaryan ki gayeen, Kya Kya aziyatien di gayeen aur un masoomoun ke ghar waloun par kya kya guzri hogi, Ye lockdown mukammal khatam hone ke baad samne aaye ga. Dehli fasadaat ke mujrimeen isi terhan azaadi se ghoom rahay hain jis terhan dosray kayi fasadaat aur bomb dhamako ke mujrimeen azaadi se ghoom rahay hain.

Chhata khatrah: Lockdown Allah ki taraf se ek mauqa tha ke apni shadioun ko apne nabi? ki tareeqay par mukammal saadgi se karkay har mazhab aur har zaat ke insanoun ke liye musalman insaaniyat ke darwazay khol dete, Lekin rehmat-Al Alameen ki is ummat ne be rehmi, Khudgarzi aur zulm ki wo misaal qaim ki ke dushmnan Islam ko bhi peechay chod diya. Hazaroun shadian multawi ya cancel kar di gayeen kyunkay logoun ko baarat aur baarat ka khana chhodna pasand nahi tha. Jab tak corona ka khatrah mukammal khatam nahi hota, Shadi khane dobarah jab tak nahi khultay, Loog shadi karna nahi chahtay chahtay thay. Kayi ladke waloun ne mauqa ke faida uthakar dokandaroun ki terhan apne bhi rate badhdi aur kaha ke baarat ke khane, Nauroze, Jumaki, Mangni ki dawatoun ke jo paisay bach gaye hain wo naqad day den ya jahez ki miqdaar badha den. Ladkiyoun ke majaboor baap ye mutalba qubool karne par majaboor hogaye aur shadian hogyin. Zayada tar shadion mein ladke waloun ne kuch nahi manga lekin ladkiyoun ki maaen, Dadiyan aur Naniyan jo asal fitnah hoti hain, Unhoun ne zid karkay khud jahez aur naqad pesh kiya taakay ladki ki izzat mein koi kami nah aaye. Ladkiyoun ke bhai kangaali mein mubtala hogaye. Faida kis ka huwa? faida to kapday, Sone, Beauty parlor aur catering waloun ka huwa lekin khud Damaad, Sasur aur saalay saaray mazeed gurbat ka shikaar hogaye. Rashan ki takseem mein be shumaar wo loog nazar aaye jinhoun ne gurbat ke bawajood kayi lakh baityoun ke haath peelay karne par lota deye aur khud bheek par majboor hogaye. Agar wo paisa hota to shayed aaj isi beti aur damaad ke kaam bhi aata.

Ab lockdown ke baad unn saari shadion ki tareekh dobarah tye hogi. Lain deen ke maamloun par nazarِ sani ki jaegi. Ladke walay kabhi kuch nahi mangte, Baday khuddar loog hotay hain, Kehte hain ke hamein kuch nahi chahiye jo bhi dena ho apni ladki ko dey do, Sirf hamaray mehmanoun ki ziyafat achi kardo. Lekin mehmanoun ki tadaad par Social faaslay ki pabandion ki wajah se maheman 50 ya 100 se ziyada nahi hosakinge is liye baqi mehmanoun ka bachney wala paisa kis terhan wusool kiya jaayegaa is ke bhi neye neye tareeqay dhondh liye jayenge. Goya lockdown ke tufail mein ek laanat jo khatam hosakti thi aur ziyada badh jaegi. Is ka hal yahi hai ke Ulma, Samaji jahedkar aur danishwer agay ayen aur qoum ko sumjhaayein lekin yahi loog jab apne gharoun ki shadioun mein yahi sab kuch karaingay to ye nahosat aur ziyada khatarnaak soorat ikhtiyar karne wali hai, Kyunkay corona se pehlay ek aam musalman ki jo muashi surat_e_ haal thi ab waisi nahi rahi, Aur badter hochuki hai. Is ka sab se bada nuqsaan dulhanoun ke bhai uthayinge. Kyunkay wo behan ki shadi rokk nahi satke is liye maa baap ka sara maal behan ki shadi ke liye qurbaan karkay khud kangaal hojaenge.

Satwaan khatrah: Lockdown ke douran masjidoun mein Load Speaker par Azaano ke khilaaf Allhabad high court ka faisla ab kayi shehron mein ek fasaad ka baais ban’ne wala hai. Allah taala ne jin aazmayshoun ka zikar kiya hai un mein sab se badi azmaish khauf ki hai. Logon ke zehnon par pehlay hi se itne khauf badha deye gaye hain ke musalman khauf lekin ek nafrat aamaiz khauf ke sath khamosh rahenge lekin kuch maqamat par takrao ke imkanaat hon ge jazbati afraad dono taraf hain lekin farq ye hai ke ek ke sath hukoomat, Police, qanoon ke rakhawalay judge aur aksariyat hai, Doosri taraf sirf Naare-Taqbeer. Is ke nateejay mein sirf Allah ko ilm hai ke ye surat_e_ haal kitni dhama ke dar hosakti hai aur kitni masjidoon mein sharangizi peda ki ja sakti hai. Is ka hal ye hai ke agar hukoomat ko waqai sooti aloodgi sound Pollution ko rokna hai to pehlay mandiroun ke Load Speaker fori hata de. Azaan to baa-mushkil 2 minute ki hoti hai lekin ye mandiroun ke loa speaker jo ghantoun nah sirf kaanoun ko phaadtay hain balkay qareeb ke rehne walay nah kisi taalib ilm ko padhne dete hi nah muhallay ki fiza ko pur aman aur khamosh rehne dete hain.

Dr Aleem Khan Falki
Sadar  Social Reform Society

Hyderabad

Disclaimer: The views, thoughts & opinions expressed within this article are the personal opinions of the author. and the same do not reflect the views of Y THIS NEWS and Y THIS NEWS does not assume any responsibility or liability for the same.