Thursday, May 9, 2024
HomeTrending NewsKhatoon ne khidki ka sheesha tordiya, Tayyaray ki hungami landing

Khatoon ne khidki ka sheesha tordiya, Tayyaray ki hungami landing

Beijing: China mein musafir tayyaray ko is waqt hungami landing karna pari jab nashay mein dhut ek khatoon musafir ne jahaaz ki khidki ka sheesha toad diya. Khatoon ke barey mein bataya gaya hai ke wo apne Boyfriend se taluqaat mein nakami par pareshan thi.

Akhbar sun ke mutabiq ye waqea China ki muqami Loong Airline ke tayyaray mein douran parwaaz pesh aaya tha. Hukkaam ne kaha hai ke 25 May ki Flight mein 29 sala khatoon Li apne jazbaat par qaboo nah rakh payen aur unhoun ne jahaaz ki khidki ka sheesha toad diya.

China mein social media par Viral honay wali tasaveer mein dekha ja sakta hai ke Li apni seat par baithi chila rahi hain aur jahaaz ki khidki ka sheesha todnay ki koshish kar rahi hain halaank jahaaz ke amlay ke arkaan inhen roknay aur pursukoon karne ki koshish kar rahay hain. Li musalsal mukke barsane ke baad khidki ke sheeshay ki pehli teh ko todnay mein kamyaab bhi ho gayeen.

Loong Airline ki ye flight Xining  se mashriqi China ke sahili shehar Yancheng  ja rahi thi taham khatoon musafir ki janib se khidki ka sheesha todnay ki wajah se Pilot ko Henan  soobay ke dar-ul-hukoomat Zhengzhou ke Airport par hungami landing karna padi.

Zhengzhou police ne kaha hai ke khatoon ko un ke Boyfriend ne chod diya tha aur is ke rad-e-amal mein ye waqea pesh aaya. Police ke mutabiq Li ne jahaaz mein sawaar honay se qabal ek liter cheeni sakhta Green Alchohal pi rakhi thi jis mein Alchohal ki miqdaar 35 se 60 feesad hoti hai.

Khush qismati se doranِ parwaaz is waqeye mein koi shakhs zakhmi nahi huwa. Jahaaz ka amlah Zhengzhou Airport par landing se qabal li ko pursukoon karne mein kamyaab raha aur phir inhen police ke hawalay kar diya gaya. Police ne ye nahi bataya ke Li kitni der un ki hirasat mein rahen ya un par koi jurmana bhi ayed kiya gaya aur kya jahaaz ko nuqsaan pohanchanay par un se jurmana wusool kiya gaya.