Thursday, March 28, 2024
HomeSliderKhatoon Ko Ghair mahzabi Libaas Ki Wajah Se Tayyarah Mein Sawaar Honay...

Khatoon Ko Ghair mahzabi Libaas Ki Wajah Se Tayyarah Mein Sawaar Honay Nahi Diya Gaya

Adelaide : Tayyaron Mein Sawaar Honay Se Ain Qabal Musafiron Ko Apni Manzil Ki Taraf Jane Se Rok Dainay Ke Waqeat Naye Nahi Hain Lain Ab ek  Taaza Tareen Waqea Mein ek Nojawan Khatoon Ko Pilot ne tayyaray mein sawaar honay se is liye rok diya kyunkay iska libaas ghair mahazab tha jis se is ke badan ka ziyada hissa nazar araha tha.

Tafseelaat ke mutabiq ek khatoon is waqt herat zada reh gayi jab usay bataya gaya ke woh virgin Australia ki parwaaz mein sawaar nahi hosakingi kyunkay iske libaas se bohat ziyada jism dikhayi day raha hai. 23 sala catherine Adelaide  se gold cost ke liye tayyaray mein sawaar honay ke muntazir thi aur unke qareeb jab amlah ka ek rukan unke paas aaya aur mutala kiya ke woh tayyaray par sawaar nahi hosakti.

Gold cost se talluq rakhnay wali catherine ne kaha ke air line ki khatoon amlah ne inhen sareaam sharminda kardiya. News.com ne apni report mein catherine ke hawalay se kaha hai ke amlah ne mujhe sab ke samnay kaha ke pilot mujhe un kapray ki wajah se tayyaray mein sawaar honay se inkar kar raha hai aur iski yeh baat sunkar mein mein bohat sadme mein mein itna ulajh gai thi ke halaanke mera maanna hai ke mere kapray jism ko zahir nahi kar rahay thay.

Is ne mazeed kaha ke is ke baad amlay ke Iarken ne usay libaas ko durust karne ki hidaayat di. Khatoon ne usay apne liye zillat amaiz waqea qarar diya aur kaha ke yeh bohat sharamnaak aur zillat angaiz tha. Tayyaray mein sawaar honay ka intezaar karne wala har shakhs wahan betha tha aur aap dekh sakte thay ke woh ajeeb nazron se ghoor rahay hain.

Jab iske bad woh jahaaz mein sawaar hui to is ne amlay ke rukan se poocha ke is ke kapdon mein kya kharabi hai. khatoon ne jawab diya pilot musafiron ki janib se usay libaas pasand nahi karta hai jis se udani hoti ho. khatoon ko baad azan jacket pahannay ki hidaayat di gayi jiske baad usay tayyaray mein sawaar honay ki ijazat di gayi lekin ab yeh khatoon airlines se moazrat khwahan ka mutalba kar rahi hai.