Saturday, May 11, 2024
HomeSliderKhatoon ka aghwa, Ijtimai esmat raizi aur qatal

Khatoon ka aghwa, Ijtimai esmat raizi aur qatal

Hyderabad: Telangana ke dar-ul-hukoomat Hyderabad ne abhi Disha ijtimai esmat raizi muqadma ko bhulaya bhi nahi hai is terhan ka ek aur waqea shehar mein pesh aaya hai jis ne phir ek martaba khawateen ke tahaffuz mein sawalia nishaan lagadiya hai.

Shehar ke nawahi ilaqay RC Puram ke qareeb Kollur  se 30 sala khatoon ki laash mili hai. Police ne is zimn mein ibtidayi tafseelaat batatay hue kaha hai ke 3 afraad ne mobayyana tor par asay allag maqam se aghwa kiya, Zayad-ti ki aur usay maar dala. RC Puram Police ne aghwa, Ijtimai esmat raizi aur qatal ke ilzamaat ke tehat muqadma darj karkay tafteesh shuru kar di hai.

Police ke mutabiq khatoon 2 bachon ki maa hai jo kay Kollur Thanda ki rehaishi thi jo RC Puram police hudood mein Tellapur Municipality ke tehat aatahe. Ek dahai se ziyada arsay se woh apne shohar se alehadgi ikhtiyar karne ke baad khud hi guzara kar rahi thi. Ibtidayi tehqiqaat mein police ku maloom huwa hai ke 2 din pehlay isi gaon ke 3 afraad ne usay ghar se jatay hue aghwa kiya tha aur usay gaon ke muzafaat mein waqay ek daur daraaz ilaqay mein le gaye thay jahan unhoun ne is ke sath zayad-ti ki aur usay qatal kardiya. Dehation ne khatoon ki laash dekhi aur police ku ittela di jo jaye waardaat par pahonch gayi aur postmortem ke laash ko dawakhana muntaqil kardiya. Police ne kaha hai ke mulzimen ki giraftari ke liye talaash jari hai.

Haliya dinon mein Telangana ke wazeer-e-dakhla Mahmood Ali ne kaha tha ke Telangana mein juraim ka Graph kaafi kam hai lekin is ke bawajood khawateen ke tahaffuz par hanooz sawalia nishaan hai. Haliya arsay mein kayi ek waqeat aisay runuma ho chukay hain jis ne Telangana mein khawateen ke tahaffuz par sawalia nishaan laga diya jis mein khaas kar Disha muqadma qabil zikar hain jis ne Delhi ke Nirbhaya muqadma ki yaad taaza kar di thi.