Saturday, May 4, 2024
HomeHyderabadKhatey peetey gharane ki nishani nahi, amraaz-e-qalb ki nishani

Khatey peetey gharane ki nishani nahi, amraaz-e-qalb ki nishani

Aap ka pet nikla hua hai? to phir amraaz-e-qalb ka khadsha ziyada hoga

Hyderabad : Noujawanoun mein pet ki charbi aur waza wo qata mein be dhang andaaz ek aam baat hai aur kuch Hyderabadi nojawan jin ke pet agay ki taraf niklay hue hotay hain woh usay aib tasawwur karne ki bajaye fakharya andaaz mein kehte hain ke’ ‘ khatay peetay gharane ki nishani hai’ ‘, lekin ab aisay afraad ke liye lamha-e-fikar hai kyunkay pet ki yeh charbi aur be-dhang andaaz inhen amraaz-e-qalb mein mubtala karsaktia hai.

Haliya mutaliya mein maloom hua hai ke 57 feesad Hyderabadi jo neend ki kami, tanao, be-chaeni, khaano ko chodhna aur pet ki charbi jaisay masail mein mubtala hain unhein dil ke amraaz ka khatrah hai.

Un bunyadi aadato aur masail ke asraat ko samjhna dil ki sahet se mutaliq behtar aagahi aur dekh bhaal ke liye kuleed hai lehaza zindagi ke un aadaat ke baray mein ziyada se ziyada beydaari paeda karne ke liye jo dil ke khatrah ka baais banay hain, Safola life ne ek surway kiya jis mein nelson ne Delhi , Mumbai aur Hyderabad ke alawa deegar ahem shehron mein 1226 jawab dahindgaan ka ahata kiya gaya.

Mutalay se kuch haeran kin haqayiq samnay aaye hain jin mein zehni dabao mein mubtala ya na kafi neend lainay walon mein dil ke khatray ke badhtay hue waqeat darj hue hain.

Safola life ki tahaqeeq ne Hindustan ke Metro shehroun mein geographical aur abadi se mutaliq dilchasp haqayiq ka bhi inkishaaf kiya.

Mazkoorah baala un teeno shehroun mein aur un logon par ghour aur tajzia kiya gaya jo is tarz zindagi mein ek ya ek se ziyada masail mein mubtala hain.

Teeno shehron mein Hyderabadiyoun ke liye haqayiq kisi qader behtar zaroor hain lekin un mein bhi dil ke amraaz ke khatraat mojood to hain lekin deegar do shehron ki bah nisbat sab se kam hain. jabkay hyderabad mein 30 taa 40 saal ki Umar ke 57 feesad afraad ko dil ka khatrah hai. 41 taa 55 saal ki Umar ke afraad mein yeh tadaad barh kar 71 feesad hogayi hai. hyderabad mein 88 feesad mard aur khawateen jin ke pet mein charbi hai inhen dil ka khatrah ziyada hai yahan tak ke virinchi hospital ke Consultant Dr vasu ne kaha hai ke hamari tarz zindagi ki aadaat hamaray dil ki sahet par bunyadi asr daalti hain. ahem un ke baray mein aagahi aur masail ke aiteraaf ki kami hai aur is wajah se hum bunyadi masail ko nazar andaaz kardete hain. Hyderabadi mein 88 feesad aisay afraad hain jo baqaidagi rozana warzish nahi karte hain un mein dil ka khatrah ziyada hota hai.

Yeh un afraad par mushtamil group hota hai jo mazkoora baala 3 dil ke khatraat mein warzish ki ahmiyat ko tasleem nahi karte hain. yeh mutalea hamaray liye dil ki sahet ki taraf fa-aal iqdamaat karne ke liye ek khatray ki ghanti hai.

Ghizaiyat ki maahir stephen ne kaha is tehqeeqi mutalea ke zimn mein kaha hai ke safola life study ne hamaray tarz zindagi aur is ke hum par honay walay asraat ke baray mein chonka dainay walay haqayiq aur aadado shumaar ko zahir kiya hai. hum mein se beshtar dil ki sahet, ek ya is se ziyada asr andaaz honay walay awamil aur tarz-e-amal ko nazar andaaz karne ke mujrim hain jo hamaray dilon par badey paemanay par asr daal sakte hain. tarz zindagi mein hamari baqaida choti aur misbat tabdeelian jaisay sahih khana, achi tarhan sona, baqaidagi se warzish karna aur pet ki charbi ka track rakhna hamaray dil ke liye khatrah ko bohat hadd tak kam kar sakti hain. is mutalea ke douran jo kaledi inkishafaat hue hain woh mandarja zail hain.

Hyderabadiyoun mein 56 feesad aisay afraad hain jo kay zehni tanao ka shikaar rehtay hain un mein dil ka dora padney ke khadshaat hain.

Hyderabadiyoun mein 56 feesad aisay afraad hain jo kay rozaanh warzish nahi karte un mein amraaz-e-qalb ke khadshaat paye jatay hain.

Hyderabadiyoun mein 55 feesad aisay afraad hain jo kay 7. 5 ghanton se kam neend poori karte hain un mein amraaz-e-qalb ke khadshaat paye jatay hain.

Hyderabadiyoun mein 53 feesad aisay afraad hain jo kay khana tark karte hain un mein dil ki bimarion ke khadshaat bohat hain.

Hyderabadiyoun mein 51 feesad aisay afraad jin ki umrein 30 taa 40 saal ki hain un mein amraaz-e-qalb ke khadshaat ko nazar andaaz nahi kiya ja sakta.

Hyderabadiyoun mein 56 feesad aisay afraad jin ki umrein 41 taa 55 ke darmiyan hai un mein 61 feesad afraad amraaz-e-qalb ka shikaar hain.

Hyderabadiyoun mein jin ki tarz zindagi be-qaadgiyon ka shikaar hai un mein 61 feesad mardon mein aur 52 feesad khawateen mein qalb par hamlay ka khadsha hai –YTN STAFF