Friday, May 17, 2024
HomeSliderKhateoun ko sakht saza dene ka teyaqqun, Fast track adalat bananay KCR...

Khateoun ko sakht saza dene ka teyaqqun, Fast track adalat bananay KCR ki hidaayat

Hyderabad: Telangana ke dar-ul-hukoomat Hyderabad mein khatoon Dr. ki ijtimai aabrorizi aur qatal ke maamla mein pehli martaba riyasat ke Chief Minister K  Chandrashekar Rao ne apna radd amal zahir kiya hai. Unhoun ne is maamla mein jald se jald insaaf ke liye fast track court bananay ka elaan kiya hai. KCR ne is maamla mein apna pehla radd amal zahir karte hue sabhi zimma daar hakkaam ko hidaayat di ke tez raftari se muqadma ki jaanch ki jaye.

KCR ne kaha ke qusorwaroun giraftari ke baad ab sakht saza di jaye gi. Cheif Minister ne fast track court ki tashkeel ki bhi hidaayat di. Waqea ke baad apne pehlay awaami bayan mein ravne 4 logoun ke zareya khatoon Dr. ki ijtimai aabrorizi aur qatal ko khofnaak qarar diya aur apne gehray ranj-o-gham ka izhaar kiya.

KCR ke daftar ke zareya jari ek bayan ke mutabiq unhoun ne hakkaam ko fast track court ki tashkeel ke liye karwai shuru karne aur is baat ko yakeeni bananay ki hidayat di hai ke qusorwaroun ko sakht se sakht saza miley. Bayan mein kaha gaya hai ke hukoomat khatoon Dr. ke ahal khanah ki har mumkin madad karne ke liye tayyar hai. Riyasat ke IT wazeer KT Rama Rao ne markazi hukoomat se appeal ki hai ke wo IPC aur CRPC mein tabdeeli karkay aisay gunahgaaroun ke liye sakht se sakht saza ka bandobast kere.

Yaad rahay ke Hyderabad mein khatoon veterinary Doctor pehlay 4 logoun ne ijtimai aabrorizi ki aur phir is ka qatal karkay is ke jism ko jala diya. Itna hi nahi is ke jism ko bridge se neechay pheink diya. Hewaniyat bhari is waardaat ke baad mulk bhar mein gussa hai. Charon simet se qusorwaroun ko sakht se sakht saza ka mutalba kiya ja raha hai. –YTN STAFF