Monday, May 13, 2024
HomeJurmKhatarnaak driving karne walon ki ab khair nahi

Khatarnaak driving karne walon ki ab khair nahi

Hyderabad: Traffic police ne khatarnaak driving mein mulawis afraad ke khilaaf muqadmaat darj karne ka faisla kiya hai aur sakht iqdamaat ka elaan kiya gaya hai. Police yeh faisla karne par majboor hai kyunkay khatarnaak tareeqay se gaadi chalanay ki wajah se hadsaat mein izafah horaha hai. Alawa azeen jab police aisay afraad ko pakadegi to driver licence mansookh karwanay ke iqdamaat bhi kiye jayenge. Un iqdamaat ke baad ab is tarhan ke laparwah driving karne walay traffic police ke zareya aaed honay walay jurmane ki adaigi se bach nahi payenge kyunkay unkay khilaaf ab sirf jurmane Ayad nahi honge balkay inka driving licence mansookh kardiya jayega aur iske liye police mehakma transport ke sath mil kar kaam kar rahi hai taakay mutaliqa adaad wo shumaar ko haasil kiya jasakay. Iske alawa police aisay driveron ke khilaaf sakht karwai karne ke liye takneeki aur qanooni rukawaton ki nishandahi kar rahi hai.

Taaza tareen qawaid ke mutabiq qawaid ki khilaaf warzi karne par driver ko 12 points mil jatay hain to, khud bakhud maloomat mehakma tansport tak pahonch jayegi. Is ka driving licence khud-bakhud mansookh hojayega. Ohdedar is silsilay mein ek wasee pemanay par mashq kar rahay hain. Pehlay police traffic qawaneen ki khilaaf warzi karne walay ke khilaaf muqadmaat darj karti hai aur la-parwah driver ko har khilaaf warzi par points diye jayenge. Agar is shakhs ko 24 mah mein 12 points ho jatay hain to iska driving licence taqreeban ek saal ke liye fouran mansookh hojayega. Ek baar phir agar driver 24 mah ke andar andar 12 points haasil karta hai to is ka driving licence do saal ke liye mansookh kardiya jayega. baaz auqaat adaltin sarkari hukkaam ko sadak hadsaat mein mulawis driveron ka driving license mansookh karne ka hukum bhi deti hain. Guzashta 5 saal ke douran 18, 977 se ziyada license mansookh kardiye gaye hain. Un mein se 5,184 licence nashay ki haalat mein driving ke hain.