Monday, May 20, 2024
HomeOthersHealthKhatarnaak beemari 700 saal baad ek martaba phir wapas

Khatarnaak beemari 700 saal baad ek martaba phir wapas

Beijing: Aisa mana jata hai ke jo amraaz zamana qadeem mein they unka ilaaj daryaft karliya gaya hai aur shayad isi wajah se maazi qadeem ki bemariyan ab mojood nahi lekin ab taaza tareen khabar ne awam ko pareshan kardiya hai kyunkay china mein ek aisi bemari ka inkishaaf hua hai jo kay 700 baras qabal hua karti thi.

Duniya bhar mein 700 saal qabal siyah taoon ki waba jaisa siyah mout bhi qarar diya jata tha, is bemari ki wajah se 20 crore afraad zindagi ki baazi haar gaye they. yeh holnaak bemari ek martaba dobarah duniya mein aa gayi hai. khabar rasan idaray writers ke mutabiq bemari ne 1346 usay 1353 tak Europe aur Asia ke mumalik ko apni lapait mein liye rakha tha aur ab dobarah china mein namodaar hogayi hai jahan ab tak 2 afraad mein uski tasdeeq hochuki hai.

Cheeni news agency Xinhua ki report ke mutabiq dono mareezon ka talluq china ke ilaqay mongolia se hai aur muqami hukkaam ne kaha hai ke mareezon ka munasib ilaaj kiya jaraha hai. Beijing municiple health commission ne kaha hai ke ek mareez ki haalat is waqt mustahkam hai jabkay dosra ta haal tashweesh-naak haalat mein hai.

Doctoron ne kaha hai ke ye bemari mareez ke pehphdon par hamla karti hai aur mareez ki saans se mutasir hota hai, iske istemaal shuda kapdon aur deegar ashiya ke zariye deegar logon tak phail sakti hai. agar iski bar waqat tashkees na ho to mout sad feesad yakheeni hoti hai. –YTN STAFF