Friday, May 17, 2024
HomeLatest NewsKhashoggi qatal, bachoun ka kisi bhi tarha ke muahiday se inkaar

Khashoggi qatal, bachoun ka kisi bhi tarha ke muahiday se inkaar

Doha : Saudi hukkaam ke zabardast Naqid maqtool sahafi Jamal Khashoggi ¸ ke bachon ne media reports mein un daawoun  ki tardeed ki jis mein kaha gaya ke unhon ne guzashta saal istanbul mein mulk ke qounsil khanaay mein apne waalid ke qatal ke baad Saudi hukkam  ke sath moahida ki baabat mazakraat kiye hain. Washington post jahan Khashoggi¸ ne colum nigaar ke tor par kaam kiya, ne hukkaam aur unke khandan ke qareebi afraad ka hawala dete hue likha tha ke sahafi ke 4 bachoun ko Saudi Arab se kam az kam 10 hazaar dollar mahana milta hai. iske alawa unke waalid ke mushtaba qatiloun par muqadmay ke baad muawzay ke tor par lakhoun dollar mazeed mil sakte hain .

Sahafi ke sab se baday betay Salah Khashoggi¸ ne Tweet kar ke kaha jamal Khashoggi ¸ ek Maroof sahafi aur Muhibe watan Saudi shehri they. unki wirasat ko todnay aur tassadum paeda karne ki haliya koshish alamnaak aur ghair akhlaqi hain, filhaal maamla mein samaat ho rahi hai aur is par koi samjhota nahi hua tha ya mazakraat hue .

Betoun ki taraf se yeh bhi intibah diya kiya gaya ke Khashoggi ¸ ke bachon ki janib se baat karne ke liye kisi ko bhi ikhtiyar nahi diya gaya, siwaye apne aur wakeel ke kisi ko baat karne ka ikhtiyar nahi hai. bayan mein kaha gaya muqadma ke baray mein jannay ki bechaeni ka kya hua, usay hum samajh satke hain, qanooni qabuliat ke mutabiq hum waqeat ka ishtiraaq karenge. Khashoggi  ke qatal ke maamla mein filhaal jumla 11 afraad par Saudi arab mein muqadma chalaya ja raha hai. istighasa paanch mulzimaan ke liye mout ki saza ka mutalba kar raha hai .- YTN STAFF