Tuesday, May 6, 2025
HomeHyderabadKhangi Hostels ka dewalia, Muashi bohraan se nimatne ki nakaam koshish

Khangi Hostels ka dewalia, Muashi bohraan se nimatne ki nakaam koshish

Hyderabad: Shehar mein khangi Hostels maali bohraan ki lapait mein aachukay hain kyunkay bohat saaray afrad nahi chalanay mein maali boojh bardasht karne se qassar hain lehaza ab wo is kaarobar ko khatam karne ko tarjeeh de rahe hain. Bohraan ki wajah se khangi hostel mein 1 lakh se zayed mulazimeen ki mulazimat khatray mein par jayegi. Khangi hostel mutadid talba, IT mulazimeen aur mukhtalif maqasid ke liye shehar anay wali khawateen ko chhat muhayya karte hain lekin corona bohraan ki wajah se un ka muashi istehkaam khatray mein pad gaya hai kyunkay IT mulazimeen sameit bohat se mulazimeen ko gharoun se kaam karne ka ikhtiyar aur sahulat haasil hai aur taleemi idaray abhi bhi band hain. Pichlle 2 mah se Coronavirus se lockdown hai aur band ki wajah se Hostels ko bhaari nuqsaan uthana padh raha hai. Aglay 2 mah khangi Hostels ke liye koi hosla afzaa bhi nahi hain. Bohat se Hostels malikaan ke sath apne imarat ke lies muahiday mansookh kar rahay hain. Hostel ke kuch malikaan lockdown muddat ke liye sirf nisf kiraya ada karne ke liye zamindaroun se saudey baazi karne ki koshish kar rahay hain.

Riyasat bhar mein 10 hazaar ke qareeb khangi Hostels hain jin mein 7 lakh se ziyada afraad hain. Rehashi ya to talba hain jo mukhtalif Course aur Programs ki coaching haasil kar rahay hain ya mulazimeen jin mein IT shoba mein sare fehrist hain. Hostels inhen ta-aam aur qiyam ki sahoolat faraham karte hain qiyam aur ta-aam ki sahuliyaat se istifada ke liye 5000 se 15000 rupay wusool kiye jatay hain. Chunkay mutadid coaching institutes’ Band hain talba aur masabqti emtehanat ki tayari karne walay afraad apne shehroun aur dihatoun ko chalay gaye. IT mulazimeen gharoun se kaam kar rahay hi. Taleemi marakaz mein naye dakhlay nahi ho rahay hain. Is ke nateejay mein ek ke baad dosray hostel band hotay jarahay hain. Ameerpet mein ek Hostel ke maalik ne kaha hai ke lockdown se qabal hostel mein 30 IT mulazim they. Ye sab apne gharoun se kaam kar rahay hain. Yahan tak ke agar hostel mein wapas anay ko kaha gaya to bhi wo is mein dilchaspi zahir nahi kar rahay hain. Shehar mein hostel chalanay walay ek aur shakhs ne kaha ke is ka hostel guzashta 2 mah se khaali hai jab IT mulazimeen apne gharoun ko rawana huve. Unhoun ne kaarobar mein kami ka hawala dete huve lockdown muddat ke liye sirf nisf kiraya ada karne ki tajweez pesh ki.