Hyderabad: Agarchay reyasti hukoomatoun ne maliyati idaroun ko karzz dahindgaan ku eqsaat ki adaegi mein reyayat aur EMI mokher karne ki sahoolat faraham karne ke liye hidayat jari kee kyunkay ye haqeeqat sab par aaya hai ke lockdown ki wajah se shehrioun ko maali pareshani ka saamna hai aur mulazimatoun ke ilawa kaarobar nahi hai lekin be hiss khangi Financer ghareeb Auto drivers ko vajbat ki adaigi ka mutalba karkay pareshan kar rahay hain. Lockdown ke douran ada nah honay walay vajbat par sood ke sath adaigi ka mutalba bhi na qabil feham hai.
ye ilzaam ayed karte huve ke un par sood ke sath vajbat ki adaigi ke liye dabao dala ja raha hai, Bahadurpura ke rehaishi, Auto driver Ghouse Pasha ne kaha hukumat sirf bayan baazi se kaam le rahi hai jabkay haqayiq is ke mukhalif simt mein hain. unhoun ne mazeed kaha ke hum par dabao daal rahay hain ke wo lockdown meyaad ke douran ki bhi adaigi ki jaye gi halanke lockdown ke douran Autos ne ek din bhi kiraya nahi kiya. Unhoun ne mazeed kaha hame sood ki raqam ke sath vajbat ki adaigi ki hidaayat mil rahi hain aur hum is ke liye raqam kahan se layeinge? Hum is waqt tak adaigi nahi kar saktay jab tak ke hamaray kaarobar aur muashi sorat e haal mein behtari nah aaye.
Financer Auto drivers par dabao daal rahay hain ke vajbat ki adaigi ke sath sath pichlle 3 mahinoun ka sood bhi ada kiya jaye. Auto Drivers ne wazeh kiya hai ke Lockdown mein narmi ki gayi hai lekin sorat e haal badastoor barqarar hai kyunkay shehri public transport ke istemaal se guraiz kar rahay hain aur Auto se kaha gaya hai ke wo 2 se ziyada musafiroun ko nah bethaye. Ek pareshan Auto driver Mohammad Taj ne kaha hai ke hame sakht sorat e haal se niklny mein kam az kam kuch mahino ka waqt lagega. Tabhi Auto driver vajbat ki adaigi kar sakenge.
Ek aur Auto driver Mohammad Sabir ne maatam karte huve kaha phele hi hum lockdown be hadd tanao mein guzar chuke hain aur jo kuch bhi thoda sarmaya hamaray sath reh gaya tha wo poora khatam hogaya hai. Riyasat ya markazi hukoomatoun se kisi imdadi package ka elaan nahi kiya gaya hai ke wo hamein is na umeedi sorat e haal se azad karaye. Autos mein hum sara din sakht mehnat karne ke baad bhi khaali haath lout rahay hain. Financers vajbat ki adaigi ke liye hum par be hadd dabao daal rahay hain. Hukoomat ki janib se chawal ke siwa koi sarkari imdaad ya madad nahi hai kam az kam ab hukoomat ko kuch imdadi package ka elaan karkay hamein bachanay ke liye agay aana chahiye.