Saturday, May 18, 2024
HomeTrending NewsKhandani Car mein 3 se ziyada afraad ke safar ki ijazat

Khandani Car mein 3 se ziyada afraad ke safar ki ijazat

Abu Dhabi: Abu Dhabi Police ne kaha hai ke khandani Car mein hadd se ziyada sawaryoun ki khilaaf warzi ka jurmana nahi hoga bashart e kay Car mein ek hi khandan ke afraad ya qareeb tareen rishta daar gaadi mein mojood hon. Tafseelaat ke mutabiq Abu Dhabi 3 se ziyada sawaryan bithanay par jurmana muqarrar kiye huve hai lekin ye earzi hai. Novel Coronavirus ko phelnay se roknay ki ahteyati tadbeer ke tor par lagaya gaya hai. Abu Dhabi ke baaz shehrioun aur muqeem ghair mulkioun ne Police se istafsaar kiya tha ke baaz khandanoun mein ek se ziyada bachay hain jin ke liye mushkilaat horahee hain. Novel Coronavirus ko phelnay se roknay ke liye muqarara hifazati iqdaam ke bamujab 3 se ziyada sawaryoun par pabandi hai.

Jurmane se bachney ki wajah se khandani Car mein khandan ke afraad jama honay se guraiz karne lagey hain. Walidain bachoun ko gharoun par tanha nahi chod satke. Kya is hawalay se koi sahoolat mumkin hai? Abu Dhabi Police ne is istafsaar par wazeh kiya ke khandani Car mein 3 se ziyada afraad sawaar honay par koi jurmana nahi.

Emarati walidain ne Police ki tavajja is janib bhi mabzol karwai thi ke jab se Novel Coronavirus ke hawalay se hifazati iqdamaat ka silsila shuru huwa hai. Hamare bachoun ne ghar se niklana band kar rakha hai. 2 mah se ziyada ka arsa guzar chuka hai kya ab jabkay Curfew mein narmi kardi gayi hai tab bhi wo apne bachoun ko ghar mein hi choden aur khud bhi un ki khatir gharoun mein rahen. Abu Dhabi Police ne kaha hai ke 3 afraad se ziyada gaadi mein bithanay par Driver se ek hazaar Dirham jurmana kiya jayega. Ye jurmana Taxi Driver aur in Driveroun tak mehdood hoga jo qareebi rishta daaron ke siwa deegar afraad ko gaadi mein bethaye huve honge. Is jurmane se khandani Car Driver mustasni honge. –YTN STAFF