Sunday, May 11, 2025
HomeTrending NewsKhaleeji mumalik mein corona se 72 feesad afraad sahet yab

Khaleeji mumalik mein corona se 72 feesad afraad sahet yab

Dubai: Khaleeji mumalik ke idaara shumariyat ney kaha hai ke GECC mulkoun mein novel coronavirus se sahet yab honay waloun ka tanasub 72 feesad tak poanch gaya hai. Website ke mutabiq idaara shumariyat ney Twitter par bayan mein kaha ke rawan hafta tak khaleeji mulkoun mein mutasireen ki jumla tadad 4 lakh 18 hazaar 152 tak poanch gayi. Un mein se 303964 sahet yab hogaye.

SPA ke mutabiq Saudi Arab main shefayab afraad ki tadaad 2589 rahi aur kal sahet yab afraad ki tadaad 120471 hogayi. Emarat mein corona mein mohlik virus se shefa panay waloun ki kal tadad 35469 tak poanch gayi hai.

Alawa azeen saltanat Amman mein corona se mutasireen ki jumla tadaad 36034 aur shefayab afraad ki jumla tadaad 19482 record ki gayi hai.

Kuwait mein coronavirus se kal mutasireen 43703 hogaye hain jabkay shefayab afraad ki tadaad 33969 tak pahonch chuki hai.