Sunday, December 8, 2024
HomeOthersHealthKhabardaar! aap ke fast food mein murda janwaroun ki charbi ka tel...

Khabardaar! aap ke fast food mein murda janwaroun ki charbi ka tel hosakta hai!

Hyderabad: Is se pehlay ke aap sadak kinare apne pasandeeda khanay ya kisi hotel se noodles ki garam plate mein chamcha hilaana shuru kardein, ek lamha ke liye rukein. Kiya aap ko yaqeen hai ke aaya aap ke thaali mein mojood cheeze waqai sabzi ya tarkariya hain? aur aap ko poora yaqeen hai ke is mein murda janwar ki charbi se tayyar kiya hua tail istemaal nahi hua hai ?

Hyderabad shehar mein mutadid grohoon ne khana pakanay ke tail mein milawat ki thi woh bhi, bhainson, bheidon ki charbi pighla kar is mein milawat ki thi, yahan tak ke murda janwaron ki charbi istemaal karne ke shawahid bhi miley thay. Is tarhan banaya gaya tail shehar mein chootey fast food centers par istemaal ho raha hai. is ke alawa detergent aur sabun ki tayari mein masroof units ki janib se bhi is tarhan ki dhandliya horahee hain.

Ye fast foods center aur sadak ke kinare khanay ki units ki janib se is tarhan ke tail ki sab se ziyada istemaal ki koshish ki jati hai kyunkay yeh market mein dastyab brand tail se bohat ziyada sasta hai. ye tail mukhtalif brand naamon ke tehat bhi pack kiya jata hai aur begum bazaar market mein farokht kiya jata hai.

Shehar mein Katedan industrial state, shastripuram, Jalpally, Mailadevpally, Chandrayangutta, Babanagar, Bandlaguda , pahadi shareef jaisay ilaqay janwaroun ki charbi ke sath milawat walay tail ki paedawar ke marakaz ban chuke hain. Begum bazaar inhen brand oil companiyon ke stickers ke sath farokht kar raha hai. shehar ke aam aadmi ke liye maweshion ke tail ke mahdanon mein daakhil hona mumkin nahi hai. un godamon mein kaam karne walay tamam log Bihar, UP, assam aur Odissha ke nojawan hain. food processing industry ke husool mein aisa lagta hai ke janwaron ke kachray ke sath mila hua tail ek mashhoor brand ki hesiyat se apne naam kar raha hai. Bawarchi khanaay se mutaliq tail murda janwaron ki laashon se nikaali charbi se tayyar hota hai. yeh packets mein pack ho raha hai aur Branded naamon ke sath awam ke liye jari kiya ja raha hai.

Doosri janib mehakma food safety mein Makhlua jayidadon mein saal bah saal izafah hota ja raha hai. Ek crore se ziyada abadi walay hyderabad mein mehakma food safety mein amlay ki tadaad unglio par gini ja sakti hai. jabkay GHMC food inspection division ke liye fi halqa 30 ohdon ki manzoori di gayi hai jis mein sirf 20 kaam kar rahay hain. 5 gazeted poston ke liye sirf 2 ohdedar kaam kar rahay hain.

Halqay ki satah par 10 aur gazette satah par 3 ohday barson se khaali hain. food safety ke miyaar ke mutabiq, har 50,000 afraad ke liye ek food inspector hona chahiye aur yeh tadaad greater hyderabad mein 200 food inspector hona chahiye lekin amlah ki tadaad kam honay ki wajah se aisa lag raha hai ke hyderabadi awam fast food ke naam par murda janwaron ki charbi aur fazil ashya se banay tail khanay par majboor hain.