Sunday, May 19, 2024
HomeIndiaKerala mein pur aman band ka ihtimaam, 278 afraad giraftar

Kerala mein pur aman band ka ihtimaam, 278 afraad giraftar

Thiruvananthapuram: Kerala mein mangal ke roz subah saweray shehriat tarmeemi act ( CAA ) 2019 ke khilaaf, Takreeban 33 tanzeemoun ki janib se par aman band manaya gaya aur ehtijaj kiya gaya. Is douran police ne aur tab tak par aman raha 278 afraad ko hirasat mein leliya, Jabkay riyasat ke mukhtalif hissoun se 184 afraad ko hifazati tehweel mein leliya.

Taham riyasat mein chand maqamat par muzahireen ne awaami transport Buses par pathrao kiya aur dukanoun ko band kar vaya gaya. Reyasti police ke sarbarah Loknath Behra ne peer ke roz kaha tha ke police qanoon shikni karne waloun ke khilaaf sakht karwai keregi.

Chunkay mazkorh band, Choti siyasi jamaatoun ki janib se manaya gaya, Jin ki Kerala Assembly mein koi numaindagi nahi hai, Is liye riyasat mein is ke baraks mahol dekha gaya. Aur is band ka assar nahi huva. Kayi shehroun aur deegar ilaaqoun mein ziyada tar dukanain khuli rahen.

Lekin Kannur, Kasargode, Palakkad  Ernakulam jaisay kuch azlaa mein muzahireen ne awaami amad-o-raft ko rokk diya aur zabar dasti dukanain band kar wane. Zaraye ke mutabiq, Jin siyasi jamaatoun ne band ka mutalba kiya hai wo hain, Social democratic party of India ( SDPI ) aur Welfare Party, Waghera shamil te. –YTN STAFF