Friday, April 26, 2024
HomeIndiaKerala mein pehla Coronavirus case aaya samnay

Kerala mein pehla Coronavirus case aaya samnay

New Delhi / Thiruvananthapuram: Markazi wizarat sahet aur khandani behbood neh jumaraat ko kaha ke Kerala se talluq rakhnay walay novel Coronavirus ka ek misbet case samnay aaya hai. Wizarat sahet ki janib se jaree ek bayan mein kaha gaya hai ke ”Wuhan University mein zair taleem, Taalib ilm. Novel Coronavirus ka am misbet maamla samnay aaya hai“.

Mareez ko hospital mein tanhai mein rakha jata hai. Wizarat ke bayan mein kaha gaya hai ke ”mareez mustahkam hai aur is ki kadi nigrani ki jarahi hai“. Kerala ki ek report mein bataya gaya hai ke wazeer e sahet K.K. Shailaja ne health ke aala ohdedaroun ka hungama ijlaas talabb kiya hai.

Ohdedar ne bataya ham 6 namonoun ke imthehaan ki jaanch ke nataij ka intzaar kar rahay they aur hamein 5 ke nataij miley jo manfi they “. Kerala ke health ke hakkaam neh Charshumbe ki raat betaye gaye adaad o shumar ke mutabiq, Taqreeban 800 loog 10 Hospataloun mein aur baqiya gharoun mein muaina kar rahay hain.

Wazeh ho ke’ China ke shehar Wuhan mein guzashta mah Coronavirus ki waba phail gayi. Tab se China mein naye coronavirus se halakatoun ki tadaad 170

hogayi hai, Jabkay 7,711 tasdeeq shuda mamlaat hain. Ghair mulki shehrioun ke liye watan wapsi ki parwaze ja ree rakhay hue hain.

China, Hang Kong aur Macaw se bahar, Tasdeeq shuda kissoun walay dosray mumalik thai land, Singapore, Malaysia, Vietnam, Cambodia, janoobi Korea , Japan , Nepal. Sri Lanka. Canada, UAE, Australia, France, Germany shaamil hain. Finland ne charshumbe  ke roz apna phela case report kiya. Taiwan mein mutadid mamlaat bhi qaumi ginti mein shaamil they. –YTN STAFF