Sunday, May 19, 2024
HomeIndiaKerala mein CAA ke khilaaf insani zanjeer ka ihtimaam, 7 million afraad...

Kerala mein CAA ke khilaaf insani zanjeer ka ihtimaam, 7 million afraad ki shamoliat

Thiruvananthapuram: CAA ke khilaaf sab se baday muzahiroun mein se ek ke tor par, Kerala ke SPIM ki qayadat baen jamhoori mahaaz, Left Democratic Front ( LDF ) ne itwaar ke roz Kasargod se Tamil Nado ki sarhad tak phaily taweel ek insani zanjeer ka ihtimaam kiya, Jis mein ek andazay ke mutabiq ” 7 Million yane 70 lakh afraad ne shirkat ki.

loog badi tadaad mein is insani zanjeer mein shirkat ke liye nikal aeye. Qaumi shahrah ke sath chalne wali ye insani zanjeer, Kasargod  se Thiruvananthapuram tak takreeban 600 kilo Meter ka fasil hai tak thi. Is ka shaam 4 bajey aaghaz huva. Is mein sab se pehlay ayeen ke peshkash ko padha gaya aur phir is mein shareek har fard ne faisla kiya ke ayeen ka difaa karne ke liye apni jaan dainay ke liye tayyar hon,.

Kerala ne hamesha hi kayi muzahiroun ki qayadat ki hai aur is ne mulk ke baqi hissoun ko bhi dekhaya hai. Is programmed mein opposition hissa nahi le raha hai. Lekin un ke kayi hemayatoun ne hissa liya hai, Jis se zahir hota hai ke markaz ke ghalat faislay ke khilaaf sab ek hain.

Wazeer aala Pinarayi Vijayan, Apne kunba ke afraad ke hamrah, Riyasat ke dar-ul-hukoomat ke wast mein waqay Palyam mein qataar mein khaday they. Insani zanjeer mein apni shirkat ke baad Vijayan ne ek jalsa aam se khitaab kiya. Is programme mein awam ki badi tadaad mein shirkat se ye pegham wazeh hai ke hum CAA ko qubool nahi karen ge. Kyunkay ye mulk ki awam ko mazhabi ki bunyaad par takseem karta hai. Yahan tak ke aqwam mutahidda ne bhi kaha hai ke aisa nahi hona chahiye.

Kerala mein, Hum pehlay hi ye wazeh kar chuke hain ke nah to NPR hoga aur nah hi NRC. Jab tak CAA wapas nahi liya jata hum aaraaam nahi karen ge. Agar chay ke opposition congress ki zair qayadat United Democratic Front is programme ka hissa nahi thi, Kyunkay ye SPIM ke zair e ihtimaam ehtijaj tha, Lekin jo loog is silsila mein aeye aur is mein shaamil hue un mein Christian Bishop, Pujari, Rahibah , Musalman Ulama, Filmi shaksiaat, Aur shayar, Musannif, war samaji o saqafati shobo se bohat se loog shamil they.

Zila Alappuzha  mein naye shadi shuda jooday ne bhi CAA ke khilaaf is insani zanjeer mein shirkat ki. Decemeber mein shehriat tarmeemi qanoon ke manzoor honay ke baad se, Kerala mein mutadid muzahiray ho rahay hain, Jis mein hukmaran aur opposition ki jamaatoun ke mushtarqa muzahiray bhi shaamil hain. Qanoon saaz Assembly ne CAA se dast bardari ka mutalba karte hue ek qarardad manzoor ki aur reyasti hukoomat ne Supreme Court mein Petition dair karkay CAA ko ghair aaeni qarar dainay ki darkhwast ki hai.

Aakhri baar jab LDF ne 29 Decemeber 2016 ko isi terhan ki insani zanjeer ka ihtimaam kiya gaya tha aur awaami mafaad ke liye ehtijaj kiya tha.

Yakam January 2019 ko Pinarayi Vijayan ki zair qayadat hukoomat ne muashray mein nishat Sania ke eqdaar aur sanfi masawaat ko barqarar rakhnay ke liye khawateen ki deewar ka ihtimaam kiya, Jis ka
maqsad Sabarimala mandir ko har omar ki khawateen ke liye kholnay ke Supreme Court ke faislay istakbaal karna tha. Sangh Parivar Forces aur Congress ki zair qayadat UDF ne is istakbaal ki shadeed mukhalifat ki thi. -YTN STAFF