Sunday, May 19, 2024
HomeIndiaKerala mein barish se 42 afraad halaak, ek laakh se ziyada afraad...

Kerala mein barish se 42 afraad halaak, ek laakh se ziyada afraad imdadi camps mein muntaqil

Thiruvananthapuram : Kerala mein bhaari saelaab se aam zindagi maflooj hokar reh gayi hai. aur kayi afraad apni jaanoun se haath dho baithe hain. kerala saelaab mein honay wali amwaat ki tadaad 42 hogayi aur barish se mutasirah riyasat ke ek laakh se ziyada afraad ko 800 se zayed imdadi camps mein muntaqil kiya gaya hai. it-tila-aat ke mutabiq pichle teen dinon mein 42 amwaat hui hain, jinmein se 11 afraad ka talluq Odiyan se hai .

Saelaab se mutaliq jaizah ijlaas ke baad media numaindon se baat karte hue reyasti wazeer-e-aala Pinarayi Vijayan ne kaha ke ”80 Landslides , jo sab se ziyada tabahi ka baais bani hain, aur 8 azlaa bad-tareen tabahi ka shikaar hue hain.

Unhon ne kaha ke hukaam un ilaqoun mein laa pata honay walon ki asal tadaad ke baarey mein abhi tak maloomat haasil nahi kar sakay hain. ghair musadeqa it-tila-aat ke mutabiq, 41 kolapura se laa pata huye hain.

Pinarayi Vijayan kaha ke ” Ernakulam, Palakkad, Idukki, Malappuram, Kozhikode, Waynad aur Kannur. mein aaj shadeed barish ke paish-e-nazar red alert jari kar diya gaya hai. Wayanad mein, Bansura dam bhara hua hai. dam ke bahao mein rehne walay afraad ko imdadi camps mein muntaqil kar diya gaya hai.

Unhon ne kaha ke ”sab se bada masla yeh hai ke hum bad-tareen mutasirah muqamat par mausam ki kharab sorat-e-haal ki wajah se hawai operation nahi kar sakte hain, hamein mutala kiya gaya hai ke jaisay hi mausam theek hojayega, un ilaqon mein fizai karwai ki jayegi. –YTN STAFF