Hyderabad. Kerala main sailaab ke mutasireen ki imdaad ke liye Jamat e Islami Telangana & Odisha ki janib se Relief Fund qaayim karte hue Crore ha rupay ki imdaad rawana karne ka faisla kiya gaya hai. Ameer Jamat Islami halqa Telangana o Odisha Janab Hamid Mohammad Khan ney aaj yahan akhbaari numaindon se baat cheet karte hue bataya ke Jamat ke headquarters waqay lakadkot main imdaad ki vasuli ka aik camp qaayim kiya gaya hai. Unhon ney kaha ke Kerala ka haliya sailaab sadi ka bad tareen sailaab tha jis ney Kerala ki mayeeshat ko tabah karkay rakh diya. Sailaab ke baayis taqreeban 20 hazaar Crore rupay ke nuqsanaat ka andaza lagaya gaya hai. Unhon ney bataya ke Peoples Foundation, Jamat e Islami Hind halqa Telangana o Odisha aur is ki zaili tanzeemen jaisay ARW, SIO, GIO, IYM, MPJ waghera raahat kaari ke kamon mein apne hazaron volunteers e sath din raat masroof hain. Doctors ki tanzeem DARE se wabasta Doctors ki aik team Kerala pahonch chuki hai. Unhon ney bataya ke Kerala mein fauri raahat ke taur par khaney ke packet, peeney ka saaf pani, bartan, kapdey aur chadaren, bistar, School Kits aur adwiyaat waghera ki sakht zaroorat hai jabkay dosray marhala mein makanaat ki marammat, Shelters ki taamer karna hoga. Janab Hamid Mohammad Khan ney bataya ke Kerala aik taksiri riyasat hai jahan mukhtalif aqaayed ke log sheer o shakar ki terha mil jul kar rehtay hain, aaj wahan sailaab o tughyani ke baayis zabardast tabahi machi hui hai. Museebat ki inn ghadion mein hum sab ka fareeza hai ke un ki madad ke liye agay ayen aur be ghar hojane walon ko sahara faraham karen. Unhon ney kaha ke Jamat e Islami isi jazba insani ke tahet Kerala ke museebat zadgaan ke liye fund jama karne ka mansoobah baneya hai. Jamat e Islami apne kaarkunon aur aam logon se imdaad haasil keregi aur jo kuch bhi yahan jama kiya jaye ga Jamat e Islami ke ohdedar, Kerala pahonch kar apne hathon se bah nafs e nafees taqseem karenge. Janab Hamid Mohammad Khan ney baaz firqa parast taqaton ki janib se Kerala ki imdaad na karne ki tajweez ko nafrat par mabni qarar dete hue usay mustarad kar diya aur kaha ke yeh kehna ke Kerala ke log chunkay gosht-khor hain is liye un par yeh museebat aan padi hai tohmat parasti hai. Agar aysa hi hota to Uttaranchal mein jo sailaab aaya tha is mein woh log kyun bahe gaye jo yatri thae aur sabzi Khor thae janab Hamid Mohammad Khan ney sab se appeal ki ke woh frakhdilanh atiyaat den. Jamat e Islami ke sadar daftar waqay lakadkot ya apne apne ilaaqon mein waqay Jamat ke dafatir par ruqomat ataa kar saktay thae. Iss mouqe par Janab Mohammad Azhar aur Janab M. N.Baog aur dosray maujood thae.