Saturday, May 3, 2025
HomeIndiaKerala hukoomat, CAA ke khilaaf Supreme Court se rujoo hui

Kerala hukoomat, CAA ke khilaaf Supreme Court se rujoo hui

New Delhi: Kerala Assembly ki janib se shehriat tarmeemi qanoon ke khilaaf qarar daad manzoor honay ke baad, Reyasti hukoomat ne tarmeem shuda qanoon ( CAA ) ko challenge karte hue Supreme Court se rujoo kiya hai. aur CAA ke khilaaf darkhwast dair kar di hai. Kerala ab mazhab par mabni shehriat tarmeemi qanoon ( CAA ) ko challenge karne wali pehli riyasat ban gayi hai. Kerala hukoomat ne is ke liye aeen ke Article 131 ke tehat Supreme Court mein muqadma dair kiya hai.

Aeen ka Article 131 hukoomat hind aur kisi bhi riyasat ke mabain kisi bhi tanaza mein Supreme Court ko asal daira ikhtiyar deta hai. Agar dono ke mabain kisi qanoon ka sawal hai ya qanoon par kisi had ya ikhtiyar ka maamla hai. Is qanoon ka challenge karne wali 60 se zayed darkhwastoun ke sath Supreme Court is muqadmay ko apne paas le chuki hai, Aur is muamlay par 22 January ko samaat honay wali hai.

Darkhwast mein, Baen baazu ki zair qayadat Kerala hukoomat ne naye qanoon ko aeen ke mutadid Articles ki khilaaf warzi qarar diya hai. Jis mein masawaat ka haq bhi shaamil hai, Aur kaha hai ke yeh qanoon aeen mein shaamil Secularism ke bunyadi usooloun ke khilaaf hai. Kerala hukoomat ne adalat uzma se estada ki ke wo is qanoon ko aeen ke bar khilaaf aur kaladam qarar dete hue faisla paas kere.

Reyasti hukoomat ne 2015 mein passport qanoon aur ghair mulki ( tarmeemi ) order mein ki gayi tabdeelioun ki sadaqat ko bhi challenge kiya hai. Aur Supreme Court mein ek darkhwast bhi dair ki gayi hai, Jis mein jhooti afwahoun ko phelanay wali siyasi jamaatoun ke khilaaf sakht karwai ki nishandahi karne ke sath sath election commission ko CAA Ku aeeni qarar dainay ki hidaayat ki gayi hai.

Mumbai se talluq rakhnay wali  Puneet Kaur Dhanda ke zareya Advocate Vineet Dhanda ke zareya dair kardah darkhwast Supreme court mein pehli darkhwast hai, Jis ne markaz ke qanoon ki himayat ki hai aur CAA ko ”Aeeni“qarar dainay ki hidayat dainay ka mutalba karte hue kaha gaya hai ke is qanoon ko reyastoun ki janib se jarehana andaaz mein laago kiya jana chahiye.

Is qanoon ke tehat 31 decemeber 2014 ko ya is se qabal 3 mumalik, Pakistan, Bangladesh aur Afghanistan se hijrat karne walay Hindu, Sikh. Budh, Isaai, Jain aur Paarsi baradri se talluq rakhnay walay ghair muslim tarkin watan ko shehriat di jaye gi. 18 decemeber ko, Chief Justice  S.A. Bobde  aur Justice B.R. Gavai aur Surya Kant par mushtamil bench ne qanoon par amal dar aamad roknay se inkaar kar diya aur is muamlay ko January mein mazeed samaat ke liye darj kiya. Adalat ne markaz ko notice jari kiya. Supreme court 22 January ko ek sath tamam muqadmaat ki samaat keregi.

Kerala hukoomat ne kaha ke CAA aeen ki khilaaf warzi karti hai aur Hindustan ke secular aur jamhoori usooloun ki bunyaad par hamla karti hai. Reyasti Assembly ki janib se CAA ke khilaaf haliya qarardad manzoor ki gayi thi, Jo is darkhwast se munsalik hai. –YTN STAFF