Friday, April 26, 2024
HomeIndiaKerala congress mein karkuno ko miraaet dene ke liye islahat

Kerala congress mein karkuno ko miraaet dene ke liye islahat

Thiruvananthapuram: Congress party mein naye riyasati sadar K Sudha Kiran ke saath party high command ki mukammil tayid haasil karne ke alawa bolne aur saqt kaam karne ke saath party ki ek tabdeeli ki jaarahi hain jo ke uske auhde par mahana miraaet dene par gaur kar rahi hain. Uski pehli nishaniya 14 nau muntaqab zilee party sudoor ke liye party ki jaari workshop mein dekhi gayi. Workshop mein behas o mubahesa ke liye jo hidayat rakhi gayi hain in mein kal waqti party karkuno ke liye targeebat ki adaigi bhi shamil hai.

Ek aur tanqeed jis ka samna party ko karna padh raha hai woh yeh hai ke party ki taqareeb mein Sai nasheen par samayeen ke muqable mein zyada log baite huwe nazar aate hai aur yeh tanz ka mustaqil ban gaya hain. Party ne kaha ke ab se khas taur par party taqreebat ke muntazamin ko khayal rakhna hoga ke aisa nahi ho. Ek aur hidayat naama jo saamne aaya woh yeh hai ke party ke ander masayil ko hal karne ke liye zilee sateh ki Inzabti kametiyan qayam ki jaye ek aur guide line jo samne aayi woh yeh thi ke sadkon par cut off rakh kar koe bhi apni Tash heer mein mulawwis nahi hona chahiye. Sudha Kiran ek hairan kun inteqab tha aur yeh is waqt aaya jab high command ne party ke sabiq manager ko zyada ehmiyat na di jis mein omen chandi aur Ramesh chunetela shamil the.

Iqtedar sambhalne ke fauran baad sudha Kiran ne party mein nazm o zabt naafiz karne ki zaroorat par baat ki aur unho ne kaha ke agar party ko khoyi huwi saakh dubara hasil karne ki zaroorat hain toh use neam kader party ke mood mein kaam karna hoga. Congress ke tajurba kaar aur kaser gode lok sabha ke rukun raj mohan yuntun ne kaha ke agar Kerala mein party ko aage badhana hai toh inqilaabi tabdeeliyan laani hogi. Nazm o zabt hona chahiye aur uske liye wazeh hidayat honi chahiye. Aaj Kerala mein party mein waqt ki zaroorat ke mutabiq tabdiliya ho rahi hai aur sab ka khair muqaddam kareinge.

Agar che 14 zilee sudoor ke naam aane ke baad khiyas araahiya khatam ho gayi hai ab sab ki nazrein nayi party ki riyasati sateh ki comety ki tashkeel par hain aur agar Sudha Kiran bagair kisi sansani ke use khatam karne mein kamiyab ho jaata hain toh woh party ka control sambhal sakta hain lekin agar aisa nahi hota hai toh yeh cheezein party ke liye behtar nahi hain.