Sunday, May 19, 2024
HomeIndiaKerala Assembly ne CAA ke khilaaf qarar daad manzoor ki

Kerala Assembly ne CAA ke khilaaf qarar daad manzoor ki

Thiruvananthapuram: Kerala Assembly ne mangal ke roz shehriat tarmeemi qanoon ( CAA ) ke khilaaf mulk bhar mein honay walay muzahiroun ke darmain CAA ke khatmay ka mutalba karte hue ek qarar daar manzoor ki. Hukmran CP ( I( M ). ADF aur oppostion congress ki qayadat walay, United Democratic  Front ( UDF ) ne is tehreek ki himayat ki, Jabkay BJP ke wahid rukan Assembly aur sabiq margazi wazeer o O. Rajagopal ek roza khusoosi Session mein wahid mutafiqa aawaz they.

Ewaan ne wazeer aala Pinarayi Vijayan ki taraf se pesh ki jaaney wali peshkash ko manzoor karliya. Saal ke aakhri din ye ek ghair mamooli lamha tha, Jab riwayati siyasi hareefoun, Baen mahaaz aur UDF ne qarardad manzoor karne ke liye haath milaya. CAA par tabadlah khayaal ke liye din ka khusoosi ijlaas talabb kiya gaya. 140 rukni Kerala  Assembly mein BJP ke paas ek MLA hai.

Is behas ka aaghaz karte hue wazeer aala Pinarayi Vijayanne kaha tha ke poori qoum heran hai aur CAA ke khilaaf har jagah ehtijaj horaha hai. unhoun ne kaha ke duniya CAA ki pichidgyan padh kar heran rehjati hai, Jahan mazhab is taqseem ka mehwar raha hai. Aur ye dekh kar Hindustani aqwam herat ka shikaar hain. Kerala  mein koi hirasati marakaz nahi honge. Hindustan apne Secularism ke liye jana jata hai aur jo ab dabao mein agaya hai. Vijayanne ne kaha ke kisi bhi haalat mein ye CAA agay nahi barh sakta, Lehaza usay wapas liya jana chahiye.

Vijayanne ki janib se uthaye gaye tehreek ke khilaaf sakht narazgi ka izhaar karte hue Rajagopal ne kaha ke Assembly ke floor par jo kuch horaha hai, wo ghair ayeeni hai. Unhoun ne kaha ke ye kaisay mumkin hai ke is maqnnah ke paas kisi qanoon ke khilaaf qarar daar manzoor ki jaye, Yahi wo CAA hai, Jo tamam tareeqakar se guzarnay ke baad pehlay hi qanoon ban chuka hai. Ye sab kuch ab ek aisi party ne peda kiya hai, Jis ne maazi mein mazhab ki bania daal par mulk ko taqseem kiya tha.

Quied oppostion Ramesh Chennithala  ne kaha ke CAA, Azaadi ke baad mulk ke samnay sab se bada challenge ban gaya hai. Unhoun ne kaha ”Hindustan ne saloon ki mehnat se taraqqi ki aur dekhen ke ab kiya huva hai. Ayeen wo hai, Jis ka ahtheyat se musevida tayyar kiya gaya tha. Hindustani shehriat Act 1955 mein amal mein aaya tha aur tab se ye 6  baar is mein badlao hue hain, Lekin ek baar bhi mazhab ke naam par kuch nahi kiya gaya.

Lekin ab dekho, Ek hi jhatkay mein sab kuch katehray mein hai, Aur mulk ka qatal horaha hai. Is liye is qanoon ko khatam hojana chahiye. Unhoun ne kaha mai tajweez karonga ke CAA ke khilaaf muzahiroun ko teez kiya jaye aur zaroorat is baat ki hai ke qareeb 5 lakh afad 10 din ke liye Accountant General ke daftar ke samnay ehtijaj mein bathain, Taakay duniya ko notice mil sakay. –YTN STAFF