Sunday, May 19, 2024
HomeIndiaKejriwal, Manish Sisodia aur 11 MLAs ko Delhi Court ka summon

Kejriwal, Manish Sisodia aur 11 MLAs ko Delhi Court ka summon

1,300 Pages ki Charge Sheet. Police ney ilzaam aayed kiya ke Kejriwal ney Delhi Chief Secretary ko dhamkane ki saazish rachi.

New Delhi. Convener Aam Aadmi Party wo Chief Minister Delhi Mr. Arvind Kejriwal, un ke naayib Mr. Manish Sisodia aur party ke deegar 11 arkaan e Assembly ko Chief Secretary par hamla ke muqadme mein Delhi Court ki janib se Summon jari kiya gaya hai. Adalat ney unhen hidayat di ke 25th  October ko woh shakhsi taur par haazir hon. Police ney apni 1,300 Pages ki Charge Sheet mein ilzaam aayed kya ke Kejriwal, Sisodia aur deegar ney Delhi Chief Secretary Anshu Prakash ko jaan se mardeney ya shadeed Chout pohanchaney, sarkari farayiz anjaam dainey mein rukawat paida karne aur unhen nuqsaan pahonchaney ki saazish ki hai. Aam Admi Party ke leaders par Chief Secretary ko mahruse rakhney, danista tauheen karne, ishtiaal angezi karne aur ghair qanooni taur par jama honay ka bhi ilzaam aayed kiya gaya hai. Kejriwal aur Sisodia ke aawa jin deegar arkaan e Assembly ke khilaaf fard jurm ayed kiya gaya un mein Amanatullah Khan , Prakash Jarwal, Nitin Tyagi, Ritu Raj Goind, Sanjiv Jha, Ajay Dut, Rajesh Rashi, Rajesh Gupta, Madan lal, Praveen Kumar aur Dinesh Mahania shaamil hain. Anshu Prakash ney ilzaam aayed kiya ke 19th  aur 20th  Feb ki darmiyani shab Kejriwal ki rehayishgah par jab unhen aik ijlaas ke liye talab kiya gaya tha to uss waqt un ke sath zor zabardasti ki gayi. Apni shikayat mein Prakash ney kaha tha ke ibtida mein unhen dhamkaya gaya aur baad azan Amanatullah Khan aur Prakash Jarwal ney un par hamla kiya. Iss waqhiye ke bad Aam Admi ke arkaan e Assembly Amanatullah Khan aur Jarwal ko girftar karliya gaya tha lekin Delhi Police ko un se pooch gach ke liye hirasat mein dainey se inkaar kardiya gaya tha taham Dehli hukoomat ney ilzaam ko ‘boogs’ aur’ fake’ qarar diya aur kaha ke yeh BJP ki zair e qayadat markazi hukoomat ki inteqami karwai hai. Jo ilzamaat aayed kiye gaye hain woh saabit hojane ki soorat mein Kejriwal aur deegar arkaan e Assembly ko 7 saal ki jail hosakti hai.