New Delhi: Hindustan is waqt afratafri ke mahol se guzaraha hai aur un pareshan kun halaat mein Delhi Assembly intikhabaat par sab ki nazrain markooz hain jahan NRC ki himayat aur mukhalifat ki ladai mein BJP aur Aam Aadmi Party ke sath Congress ke phir se urooj par pounchanay ki umeeden awam mein dilchaspi ke mozuaat hain.
Delhi Assembly ke intikhabaat mein ab ek mah bhi nahi raha hai aur aaj ki sorat e haal ye hai ke koi bhi keh sakta hai ke barsar Iqtidaar jamaat jis ko sirf Kejriwal hukoomat kahin to ziyada behtar hoga is ki wapsi yakeeni hai, Lekun sorat e haal badal bhi sakti hai aur aisa Delhi ne maazi mein dekha bhi hai.
Saal 2013 mein har aadmi yahi keh raha tha ke Delhi mein Sheila Dikshit ke liye koi pareshani nahi hai aur wo bah aasani kamyabi haasil karlengi lekun nataij mein un ki party teesray number par aayi thi aur sirf 8 sitien hi jeet payen, Jahan muslim vote faisla kun they kyunkay musalmanoun ne Congress ke khilaaf is lehar mein bhi Sheila Dikshit ka daman thaamay rakha tha. Sabiq Chief Minister Sheila Dikshit ki qayadat mein Congress ne 3 intikhabaat jeetay aur ek gunwaya.
Jin intikhabaat mein un ko shikast ka saamna karna pada wo saal 2013 ke intikhabaat they. wo saal 2013 ke intikhabaat jeet sakti then aur chothi martaba Chief Minister ban sakti then lekun unhoun ne un usooloun se samjhota nahi kiya jo riyasat Delhi ki taraqqi ko roktay they. Un ke liye bhi bijli mein sabsadi dena aur pani ko muft karna koi mushkil kaam nahi tha kyunkay 15 saal ke Iqtidaar mein un ko itna to andaza tha ke kis shoba ka fund kis shoba mein kaisay kiya ja sakta hai aur private bijli companiyon ko kaisay khush kiya ja sakta hai lekun unhoun ne aisa is liye nahi kiya kyunkay Delhi ki majmoi taraqqi mutasir hoti.
Un ko maloom tha ke ye do dahari talwar hai ek janib riyasat ke taraqiyati mansooboun ke liye darkaar fund mein kami ajati hai jis ki wajah se riyasat mein taraqqi mumkun nahi hoti aur doosri janib agar awam ko muft khori ki aadat par jaye to wo awam taraqqi nahi kar paati.
Is mein koi do raye nahi ke Sheila Dikshit ke zamana ki taraqqi aaj bhi nazar aati hai. Aaj Delhi mein muft pani aur bijli mein zero billl ki zaroor baat ho rahi hai aur Delhi ke 28 lakh sarfeen ke bijli ke bill zero aeye hain lekun taraqqi ke naam par kuch nahi huva hai. Delhi ke taleemi nizaam ko dekha jaye, Jis ki sab se ziyada tashheer hoti hai is mein guzashta 5 saal mein ek bhi naya school shaamil nahi huva hai jabkay Aam Aadmi Party ne 500 naye school kholnay ka wada kiya tha. Schooloun mein naya pilaster aur safedi zaroor ziyada nazar aati hai lekun dasvien aur baarhavien ke nataij pehlay se kaafi gir gaye hain jo ek tashweesh ka pehlu hai, Kyunkay school ki pehchan is ke nataij se hoti hai. Ek bhi naya college ya nai university nahi kholi gayi.
Sahet ke nizaam ko dekha jaye to jin mohalla cilinic ki baat hoti hai un ki jo haalat hai aur is mein jo corruption hai jo sab par ayaan hai, Un ki wajah se Delhi mein pehlay se mojood dispensary nizaam khatam ho gaya hai kyunkay mohalla cilinic sirf party ke logoun ki maali madad aur khush karne ke liye shuru kiye gaye they. Sab se badi baat ye hai ke guzashta 5 saal mein nah to koi naya hospital khoola gaya aur nah hi naye badd ka izafah kiya gaya. Transport ka haal ye hai ke DTC mein pichlle 5 saal mein ek bhi nai Bus nahi kheridi gayi hai.
Metro ke fez 4 mein kitney masail khaday hue aur kitni takheer se shuru hui. Infrastructure ke naam par Delhi mein kuch nahi huva, Guzashta 5 saal mein sirf 3 kilometer ki sadak bani hai, Nah hi koi naya flyover bana, Busbar Apollo flyover par hi pehlay ke mansooboun par amal huva hai. Zahir hai is ki wajah paisay ki kami hai.
Delhi mein tijarat aur nokari ke ilawa koi aur zareya muaash nahi hai, Dono hi mahaaz par reyasti aur markazi hukoomat nakaam hain, Inhen koi fikar bhi nahi hai. Note bandi aur GST ki wajah se kaarobar buri terhan mutasir hain aur aalmi mandi ki wajah se logoun ki nokriyan ja rahi hain. Sitam baalaye sitam shehriat tarmeemi qanoon aur NRC par samaaj munqasim nazar araha hai. Is liye tijarat, Be rozgari, CAA aur talba ki khilaaf tashadud, Delhi ke intikhabaat mein baday mozuaat rahenge. BJP jahan ghair manzorshodah kaloneoun ko manzoori dainay aur shehriat tarmeemi qanoon aur qoum parasti par intikhabaat ladaygi.
Wahein Aam Aadmi Party muft pani, Bijli, Taleem aur sahet mein apni karkardagi par khoob badh charh kar bayan baazi aur ishtihar baazi keregi, Teesri janib Congress apne daur ke kaam aur samaaj mein mojood be cheeni jaisay mozuaat leker awam ke paas jayegi. Yahan ye wazeh karna zurori hai ke guzashta ek mah se TV par sirf Kejriwal ke ishtihar dekhe ja satke hain aur ye paisa Delhi ke awam ka hai.
BJP ka apna 33 feesad ka ek cadre vote mana jata hai jo is ko kharab se kharab haalat mein bhi mil jata hai. Saal 2013 mein BJP ko 33 feesad vote miley they aur usay 32 sitin mili then, Lekun saal 2015 mein is ko 32.3 feesad vote miley they, Lekun sirf 3 sitin hi mili then. BJP ko itni kam sitin milnay ki wajah Congress ko mila vote tha. Congress ko saal 2013 mein 24 feesad vote mila tha jabkay saal 2015 mein is ko mehez 9.7 feesad vote mila tha aur Aam Aadmi Party ka vote saal 2013 ke 29 feesad se badh kar 54.3 feesad vote hogaya tha jis ki wajah se Congress aath sitoun se safar par aagayi thi aur Aam Aadmi Pary 28 se 67 sitoun par pahonch gayi thi. Is liye un intikhabaat ki kunji Congress ke paas hai.
Aam Aadmi Party ki ye koshish hai ke Congress ko intikhabi tasweer se daur rakha jaye taakay is ko kamyaab honay mein koi rukawat nah peda ho, Kyunkay Aam Aadmi Party ki karkardagi Lok Sabha, Corporation aur Delhi university talba union ke intikhabaat mein bohat kharab rahi hai.
Un intikhabaat mein Congress ke liye ye achchaa hai ke is ki Jharkhand sameit kayi reyastoun mein intikhabi karkardagi achi rahi hai aur shehriat tarmeemi qanoon aur talba ke ehtijaj mein wo markaz mein dikhayi di hai. Agar un wajohaat ki buneaad par awam ne Congress par aetmaad ka izhaar kiya to Aam Aadmi Party ke liye pareshani ka baais ho sakta hai. Ek baat saaf hai Delhi mein BJP ko jo bhi vote mil satke hain wo Narendra Modi ke naam par hi mil satke hain kyunkay party se BJP ke apne voter bhi bohat naraaz hain aur shaed wo vote daalnay ke liye bhi nah nikleen.
Delhi BJP ke liye ek bada dhaka saabit ho sakta hai. Aam Aadmi Party ki karkardagi Delhi ke ilawa kisi bhi riyasat mein achi nahi rahi hai aur Delhi mein jis terhan ghair muslim voter ko naraaz nah karne ki gharz se Kejriwal ne shehriat tarmeemi qanoon ke ahtejaj se khud ko daur rakha hai wo un ke liye masail khaday kar sakta hai. Is ke liye tina factor agar kaam kar gaya to wo kuch behtar kar satke hain nahi to is ke liye bhi raah itni aasan nahi hai kyunkay ticket taqseem ke waqt jin arkaan Assembly ko party ticket nahi day gi wo baghaawat kerega aur ye baghaawat yaqeenan Congress ko faida pohanchaye gi. Delhi ke intikhabaat bohat dilchasp rahen ge aur agar yahan bhi BJP ki shikast jari rahi to ye seedha Narendra Modi ki qayadat par sawal khaday honge yani Delhi ki shikast BJP ki nahi Modi ki shikast hogi. –YTN STAFF