Monday, May 6, 2024
HomeIndiaKejriwal ko biwi ki saalgirah par kamyabi ka tohfa

Kejriwal ko biwi ki saalgirah par kamyabi ka tohfa

New Delhi: Chief Minister Arvind Kejriwal ne Delhi intikhabaat mein shandaar kamyabi haasil karne ke baad awam se khitaab kiya. Unhoun ne sab se pehlay Bharat Mataa ki jay, Inqilab zindah baad aur Vandey Mataram jaisay naaray buland keye aur is ke baad kaha ke Delhi walo, Aap ne gazabb kar diya. I Love you. Apni khoshi ka izhaar karte huve Arvind Kejriwal ne kaha ke ye meri jeet nahi, Delhi ki har is khandan ki jeet hai jis ne mujhe beta samajh kar vote diya hai. Ye har is khandan ki jeet hai jis ke gharoun mein chobees ghanta bijli milnay lagi, Jis ke bachoun ko mayaari taleem milnay lagi, Jin ko Hospataloun mein achchha ilaaj milnay laga.

Awam se khitaab hotay huve Arvind Kejriwal ne mazeed kaha ke Delhi ke logoun ne aaj mulk mein ek nai terhan ki siyasat ko janam diya hai, Aur is ka naam hai kaam ki siyasat. Delhi ke logoun ne ab pegham day diya hai ke vote isi ko milega ju Schools banwaye ga, Vote isi ko milega jo Mohalla Clinics banwaye ga, Jo sasti bijli day ga, Sadak banwaye ga. Ye allag qisam ki siyasat hai jo mulk ke liye khush aaind hai aur yahi siyasat hamaray mulk ko ikeeswen sadi mein le ja sakti hai.

Delhi mein AAP daftar ke baher awam se khitaab karte huve Kejriwal ne izhaar-e khushi ki aur kaha hai ke shandaar kamyabi ko pooray Hindustan ki kamyabi par mamol kiya. Unhoun ne kaha ke ye sirf Delhi ke logoun ki jeet nahi hai dostoo, Ye hamari Bharat Mataa ki jeet hai, Ye pooray mulk ki jeet hai. Aaj mangal hai, Hanuman jee ka din hai, Hanuman jee ne apni Delhi pe nazr e karam kiya hai. Hanuman jee ka bhi bohat bohat shukriya. Unhoun ne mazeed kaha ke hum sab Delhi ke bashinday bhagwan se dua karte hain ke hamein taaqat day aur sahih rahnumai kere. Hum sab Delhi pariwaar ke loog mil kar Delhi ko acha banayen ge. Mein Delhi ke bashindoun ka shukriya ada karta hon.

Apne khitaab ke aakhir mein Arvind Kejriwal ne party karkunaan ka bhi dil ki ameeq gehraioun se shukriya ada kiya. Unhoun ne kaha ke mein sabhi AAP kaarkunoun ka shukar guzar hon jinhoun ne raat bhar mehnat ki aur mere afraad khandan ne bhi mujhe poora himayat di. Is mauqa par Arvind Kejriwal ne is baat ka bhi inkishaaf kiya ke aaj un ki ahliya ka yom e paidaiesh bhi hai. Ye baat sun kar hazaroun ki tadaad mein mojood AAP karkunaan o awam ne daur se hi unhein mubarakbaad pesh ki. –YTN STAFF