Sunday, May 19, 2024
HomeIndiaKejriwal ke khilaaf BJP aur Congress behtar umeed waar muntakhib karne mein...

Kejriwal ke khilaaf BJP aur Congress behtar umeed waar muntakhib karne mein pareshan

New Delhi: Feb ki 8 tareekh ko Delhi Assembly intikhabaat ke liye parcha namzadgi daakhil karne mein mehez ab ek din hai lekin 21 saal se Iqtidaar se bahar rehne wali Bhartia Janta Party ( BJP ) aur Congress abhi tak chief Minister Arvind Kejriwal ke khilaaf umeed waar tay nahi kar payi hain.

BJP ne 57 sitoun par umeedwaroun ka elaan kar diya hai aur 2 seatoun ke liye is ka Bihar ke chief Minister Nitish Kumar ki qayadat wali Janata Dal United ( JDU ) se moahida huwa hai. Baqi 11 sitoun par party ne apne umeed waar abhi naamzad nahi kiye hain jin mein nai Delhi nashist bhi shaamil hai. Nai Delhi nashist se Kejriwal ek baar phir maidan mein hain. 2013 mein pehli baar intikhabi maidan mein utarney walay Kejriwal ne nai Delhi set se 3 baar chief Minister rehne wali Sheela Dixit ko shikast di thi. BJP ne abhi nai Delhi set se apna umeed waar naamzad nahi kiya hai.

Congress ko 2015 ke intikhabaat mein ek bhi seat nahi mili thi aur wo is martaba apna vote share badhaane ke liye jee tod koshish kar rahi hai. Party ne 54 umeedwar namzad kiye hain aur 4 sitoun par is ka Lalu Prasad Yadav ki Rashtria Janata Dal ( RJD ) se ittehad hai lekin party ne a bhi nai Delhi seat se kon umeed waar hoga hanooz wazeh nahi kiya hai.

 Congress aur BJP dono hi partiyoun mein Kejriwal ke samnay umeed waar utaarnay ke silsilay mein ghair yakeeni soorat e haal ki kefiyat payi jati hai. Congress ki taraf se is seet par Dixit ki beti aur Latika Dixit ko umeed waar bananay ki qiyaas aarayyan then lekin bataya ja raha hai ke wo Election ladnay ka iradah nahi rakhten.

BJP ki janib se Kejriwal ko un ke halqa Assembly mein hi ghairnay par ghorokhoz jari hai. Media mein guzashta dinoun Kejriwal ke sabiq muawin aur wazeer Kapil Mishra ka naam se serkhyoun mein aaya tha. 2015 mein shumal. Mashriqi Delhi ke guruwar nagar se Aam Aadmi Party ( AAP ) ke ticket election jeetnay walay Mishra ko BJP ne model town se umeed waar naamzad kiya hai lehaza ab kisi aur ku hi Kejriwal ke muqablay utaarey gi. Kejriwal ke samnay BJP ka umeed waar kon hoga, Un mein un ki hi sabiq hamkar Shazia Ilmi ke ilawa guzashta election mein umeed waar rehne wali Nupur Sharma ke naamoun ki charcheh hai. Guzashta Assembly intikhabaat mein Kejriwal ne takreeban 26 hazaar voton se jeet darj ki thi. –YTN STAFF