Monday, May 20, 2024
HomeIndiaKejriwal Assembly Intikhabaat Mein Kamyabi Ke Liye Pur-

Kejriwal Assembly Intikhabaat Mein Kamyabi Ke Liye Pur-

New Delhi : 17th Lok sabha ke intikhabaat mein BJP aur is ki ittihadi partiyon se karare shikast ke baad congress samait deegar oppostion partiyon mein is waqt afra tarfi machi hui hai. sabhi jamaten shikast ki wajohaat ka tafseeli mutalea kar rahay hain. isi fehrist mein Dehli ke chief minister aur Aam Aadmi party ( AAP) ke qaumi Convener Arvind Kejriwal nay party arkaan ko ek maktoob likh kar intikhabaat mein unki mehnat ki sataish ki hai aur shikast ki wajah bhi ganwaen hain .

23 May ko intikhabaat ke nataij mein AAP ko sirf Punjab mein ek nishist par jeet haasil hui hai. guzashta lok sabha mein party ke Punjab se 4  rukan-e-parliment they. 16th lok sabha mein Dehli mein doosri number par rahi aam aadmi party is baar achi karkardagi nahi kar saki aur iske saat mein se 5 umeed waar teesray number par aagaye jabkay kuch ki zamanat tak zabt hogayi .

Kejriwal nay lok sabha intikhabaat mein party ki shikast ki do wajohaat batayen hain. unhon nay likha aam intikhabaat ke silsilay mein poooray mulk mein jo mahol bana is se Dehli bhi daudh nahi rahi .

Qaumi convener nay shikast ki doosri wajohaat ke baaray mein bataya ke votoron nay is baday intikhabaat ko Modi aur Rahul gandhi ke darmiyan ki ladai maana aur isi lehaaz se voting ki .

Kejriwal nay agay likha hai intikhabaat mein un do wajohaat ke alawa shikast ki chahay koi bhi wajah rahi ho, hum votoron ko yeh yaqeen nahi dila paaye ke inhen aam aadmi party ko vote kyun dena chahiye jabkay bada pehlu yeh hai ke Dehli assembly ke chootey intikhabaat mein voters party ke zabardast kaam kaaj par vote denge. unhon nay lok sabha intikhabaat mein party ki shikast ki wajah gunwanay ke sath hi AAP karkunaan abhi Dehli se Dehli ke assembly intikhabaat ke liye kamar kasnay ki appeal ki hai .

Dehli mein aglay saal assembly intikhabaat honay walay hain. guzashta assembly intikhabaat mein AAP nay sabhi siyasi mahireen ki paish qiyasiyoun ko ghalat saabit karte hue 70 assembly nishistoun mein se 67 par tareekhi kamyabi haasil ki thi. maktoob mein Dehli hukoomat ke taleem, sahet, pani, bijli, pension aur 70 sarkari khidmaat ki door service   muhayya karwane ka zikar kiya hai. is ke alawa party ke bad unwani se pak mission aur Dehli mein lieutenant governor aur chief minister ke darmain ikhtiyarat ke silsilay mein Supreme Court ke faislay samait hukoomat ke deegar iqdamaat ka bhi zikar kya hai . –YTN STAFF