Hyderabad. Rukn Assembly Warangal East Mrs. Konda Surekha ney Telangana Rashtriya Samiti ke sarbarah Mr. K Chandrashekhar Rao se yeh wazahat karney ka mutalba kiya ke TRS ki janib se jari kardah 105 umeedwaron ki fehrist mein un ka naam shaamil kyun nahi kiya gaya. Hafta ko Somajiguda mein akhbaari numaindon se baat cheet karte huwe Mrs. Konda Surekha ney usay Telangana ke pasmandah tabqaat aur khawateen ki badi beizzati par mahmool karte huwe Kaarguzar Chief Minister aur TRS sarbarah se mutaliba kiya ke un ke naam ko rokay rakhne ke pas e parda muharikaat kiya hain. Unhon ney kaha ke Telangana wahid riyasat hai jahan kisi khatoon ko cabinet mein shaamil nahi rakha gaya. Unhon ney yeh istefsaar kiya ke khatoon Arkaan Assembly (B Shooba aur K Surekha) ke naamon ko pheli fehrist mein shaamil na karney ki wazahat karen. Unhon ney kaha ke woh mazeed 3 din tak intezaar karengi aur uss ke baad party ke naam khula maktoob rawana karengi aur apney mustaqbil ke mansoobah se media ko aagah karengi. Unhon ney bataya ke woh guzishta intekhabaat mein 55 hazaar ki bhaari aksariyat se kamyaab huwi theen. Mrs. Konda Surekha ney bataya ke unhon ney Mr. KT Rama Rao se baat cheet ki thi jinhon ney un se poocha tha ke Party Ticket unhen diya jaye ya phir un ki dukhtar ko, jis par unhon ney Mr. KT Rama Rao se wazeh taur par keh diya tha ke Party Ticket unhen diya jaye aur un ki dukhtar Shamita ko nahi. Unhon ney kaha ke un ke talluq se Warangal Party halqon mein yeh ghalat bawar karwaya gaya ke woh apney khandan ke liye do ticket talab kar rahi hain.