Friday, May 17, 2024
HomeSliderKCR ney jangalaat ke ahya ke liye collectors ko hidayat di

KCR ney jangalaat ke ahya ke liye collectors ko hidayat di

Hyderabad : Telangana ke wazeer-e-aala K. Chandra shekhar rao ney collectors se kaha hai ke woh riyasat bhar ke janglaat ke ahya ke liye aala  amal tayyar karen aur action plan shuru karen. Wazeer-e-aala ney kaha ke agar masharti janglaat rehaishi ilaaqon mein darjaa hararat ko kam karne mein madad faraham karte hain to jungle ki taraqqi mahol mein tabdeeli laayegi, aur barish ki aamad ke liye madad karegi.

Wazeer-e-aala ney Chaharshambe ko kaha ke budget bahaali ke programme Gajwel halqa assembly ke daira ikhtiyar ke tehat Singayapalli, Nentur, Komati Banda mein nafiz kiya gaya.

Unhon ney kaha ke riyasat-e-Telangana ki tashkeel ke waqt jab woh gajwel halqa ki numaindagi kar rahay they, jungle ka poora Raqba darakhton ke baghair aur banjar tha aur sorat-e-haal taqreeban sehraa ki tarhan thi. janglaat ki bahaali ke nazriya ke sath, ek jamia mansoobah tayyar kiya gaya aur is par amal Dar aamad kiya gaya. bhaale  ke kaam teen saal pehlay shuru hue they. ab iska nateeja samnay araha hai. poora ilaqa haryali  se bharpoor hai aur barish mein izafah hua hai.

Unhon ney kaha ke riyasat mein 66.48 laakh hectare Raqba par janglaat dastiyab hain aur yeh riyasat ki kul araazi ka taqreeban 23.4 feesad hai.

Senior jangaliyati ohdedaron ney collectors ko bataya ke jungle ki bahaali, darjaa hararat mein kami, barish mein izafah aur aloodgi ki satah ko kam karna. yeh hayatiati tanawu ko bhi qabil banata hai. un ka kehna tha ke chemiya programme se funds dastyab hain unko bastii ke liye istemaal kiya jaye ga aur mehakma janglaat ke zareya darakhton ki nasho numa ke liye iqdamaat uthaye jayenge. wazeer aala ney kaha ke wazraa, arkaan-e-assembly aur collectors janglaat ki hifazat ki zimma daari len.

Janglaat ki bahaali ke programme mein hissa lainay ke baad, collectors ney Komati Banda mein taamer kardah mission Bhagiratha planet ka dora kiya. Wazeer-e-aala ney wahan collectors ke sath dopehar ka khana khaya. baad mein unse mulaqaat ki. Wazeer-e-aala ney naye panchayat raaj act ke nifaz, naya baldiyat act aur naye revenue act ke qiyam ke baare mein tabadlah khayaal kiya.

Unhon ney kaha ke hukoomat ka maqsad gaoun aur qasboun ko saaf aur sir sabz banana hai aur isi ke mutabiq riyasat mein 60 roz action plan ke douran iqdamaat kiye jayenge. wazeer aala ney kaha ke hukumat ek naya revenue act tayyar kar rahi hai, jo bad-unwani se pak wo shafaaf hogi aur is se awam ko koi pareshani nahi hogi.

Is programme mein, A Indrakaran Reddy,  Errabelli Dayakar Rao,  Etela Rajender,  Jagdeesh Reddy,  T Srinivas Yadav,  Vemula Prashanth Reddy,  Srinivas Goud,  Koppula Eswar,  Niranjan Reddy,  Malla Reddy, State Planning Board Vice Chairman  B Vinod Kumar, MP  J Santosh Kumar, Government’s Chief Advisor  Rajiv Sharma, MLCs  Palla Rajeshwar Reddy,  Seri Subhash Reddy, CMO Principal Secretary S Narsing Rao  aur deegar ney shirkat ki. –YTN STAFF