Monday, July 7, 2025
HomeHyderabadKCR ne '' Pragathi Nivedana'' ki taiyarion ka mushahida kya

KCR ne ” Pragathi Nivedana” ki taiyarion ka mushahida kya

Hyderabad. Hyderabad ke muzafaat mein Kongara Kalan mein 2nd  September ko munaqqid shudni Pragathi Nivedana Public Meeting ke muqam par jari taiyarion ka Chief Minister Telangana wo Sadar Telangana Rashtra Samiti Mr. K. Chandrashekar Rao ne aaj mushahida kiya hai. Yaad rahay ke Telangana Rashtra Samiti ki janib se 2nd September ko zabardast jalsa aam karne ka faisla kya hai jis mein zayed az  25 lakh logon ki shirkat ki tawaqqa ki jarahi hai. Yeh bhi samjha ja raha hai ke is jalsa e aam se Telangana Rashtra Samiti apne intikhabi muhim ka aaghaz kardey gi. Mr. K. Chandarshekar Rao ne party qaideen aur ohdedaron ko hidayat di ke jalsa aam mein shirkat ke liye anay walay logon ko kisi qisam ki koi takleef nahi pahonchni chahiye. Unhon ne Police Commissioner Rachakonda Mr. Mahesh Bhagwat ke hamrah intizamaat ke baaray mein tabadlah khayaal kiya. Telangana Rashtra Samiti (TRS) ne Pragathi Nivedana Public Meeting mein 2014 ke aam intikhabaat ke baad Telangana mein qaayim un ki hukoomat ki chaar sala karkardagi ka muzahira paish kere gi aur is ki yeh koshish hai ke is public meeting mein lakhon awam ki shirkat ko yakeeni banatay hue yeh payam diya jaye ke riyasat ke awam, uss ke sath hain. Yeh bhi samjha ja raha hai ke Mr. K. Chandarshekar Rao isi ijlaas mein aayindah aam intikhabaat mein Party ke Lok Sabha aur Assembly ke liye Party ke umeedwaron ka elaan kar dein ge taakay woh abhi se intikhabaat ki taiyarion mein jut jaayen.