Hyderabad: Telangana ke Wazeer-Aala, K. Chandrashekar Rao ne itwaar ke roz bohat hi masrufiyat mein guzara, Aur kayi kaam anjaam deye. KCR ne TSRTC mulazmeen ki retirement ki had omar 58 saal se badha kar 60 saal karne ka elaan kiya. RTC amlay ke arkaan ke sath dopehar ka khana khaya, Jo riyasat bhar ke 97 depots se aeye they aur phir un ke sath Pragati Bhavan mein meeting ki. Aur unkay sath RTC ko mazboot karne ke tareeqoun par tabadlah khayaal kiya.
Wazeer-e-Aala KCR ne RTC mulazmeen ko yaqeen dilaya ke hadtaal ki muddat ki tankhahe inhen ada ki jayen gi, Aur kaha ke afsaraan ko hidaayat ki jaye gi ke wo September ke mahine ki thankhow peer ke roz ada karen. Unhoun ne ye bhi yaqeen dehani karai ke khawateen mulazmeen ki mushkilaat ko hal kiya jaye ga.
KCR ne wazeh tor par kaha hai ke, TSRTC kaarkunoun ko rozgaar ki security di jaye gi, Yahan tak ke TSRTC mulazim ko mulazimat se barkhwast nahi kiya jaye ga aur RTC Bus rote par ek bhi niji Bus chalane ki ijazat nahi ho gi. KCR ne kaha ke aglay saal se TSRTC ko reyasti budget mein se 1000 crore rupiye muhayya kiye jayen ge.
Wazeer-e-Aala chahtay hain ke aglay 4 mahino mein RTC munafe bakhash ho jaye, Usay har saal 1000 crore rupiye ka naffa ho na chahiye. Mazkorh ijlaas mein wazeer Transport Puvvada Ajay Kumar, hukoomat ke chief advisors Rajive Sharma, RTC ke MD Sunil Sharma, ED, RMO, DVM aur DM, Controller, Aur Supervisor ne shirkat ki. Wazeer-e-Aala ne mutaliqa hakkaam ko zaroory Hidayat jari kee.
Wazeer-e-Aala KCR ne RTC mulazmeen ke kaarkunoun ke sath munaqidah is ijlaas mein RTC mulazmeen ke liye mukhtalif sahuliyaat faraham karne ka elaan kiya. Unhoun ne kaha ke ”oh mulazmeen jin ki hadtaal ke douran mout ho gayi, Un ke ahal khanah ko 8 din ke andar mulazimat di jaye gi. Hukoomat ke zareya fi khandan 2 Lakh rupiye Pri Grant ki raqam ke tor par diye jayen ge. Tickets laine ki zimma daari musafir par hogi, Lekin agar koi musafir ticket laine mein nakaam raha to Conductor ke khilaaf koi karwai nahi ki jaye gi.
KCR ne kaha ke ”har dipot ke andar, 20 din ke andar khawateen ke liye khusoosi be-tul khula, Dres change Room aur lunch ke liye rooms banee jayen ge. Khawateen mulazmeen ko kaki wardi pahanne ki zaroorat nahi hai. Wo apni pasand ke colour ki wardi rakh satke hain., Agar mard mulazmeen bhi apni kaki wardi mein bad lao chahtay hain to ye kiya jaye ga.
Khawateen mulazmeen ko darpesh mushkilaat ke hal ke liye ek committee tashkeel di jaye gi. TSRTC mein mulazmeen ke walidain ko sahet ki khidmaat mein shaamil karna ho ga. na sirf Hyderabad, Balkay riyasat ke deegar maqamat par bhi niji Hospitals ki zabi khidmaat haasil karne ke liye iqdamaat kaiee jayen. Har dispensary mean mulazmeen ko duwaein muft takseem ki jayen. Aur mulazmeen ke walidain ko muft Bus pass diya jana chahiye.
Sath hi hukoomat mulazmeen ke bachoun ko fees muawza scheme haasil karne mein madad ke ehkamaat manzoor kere gi. Mulazmeen ke PF baqaya jaat ada kiye jayen ge aur CCS ada kiya jaye ga. Is ke ilawa earzi bunyadoun par kaam karne walay mulazmeen ko TSRTC mein mustakil kiya jaye ga. Is ke ilawa Wazeer-e-Aala KCR ne RTC mulazmeen ko kayi aur saholaten daine ka elaan kiya. Is terhan KCR ne RTC mulazmeen par thofoun ki bhuchar kar di. –YTN STAFF