Saturday, May 18, 2024
HomeIndiaKCR ne aakhir kyun RTI bill ki himayat ki

KCR ne aakhir kyun RTI bill ki himayat ki

Hyderabad :  Parliament mein in dinon ek ke baad deegray kayi mutanazia bills ko qanoon bananay ka silsila chal padha hai jis mein qanoon haq maloomat ( RTI ) mein bhi tarmeemi bil 2019 shaamil hai lekin jab parliment mein NDA aur is ki Haleef jamatein RTI ko Manzoor karwnay ki koshish mein theen to teen chief ministers aisay they jinhon ne BJP ki wo madad ki jo shayad is ki Haleef jamaten bhi nahi kartin. riyasat Telangana ke CM KCR , padosi telugu riyasat AP ke Y S jagan mohan reddy aur odissa  ke chief minister ne BJP ki aisi madad ki ke woh RTI tarmeemi bill 2019 ko ba-aasani Rajya sabha mein Manzoor karwnay mein kamyaab hui.

BJD , TRS aur YSRCP  ne jis tarha BJP ki madad ki hai is ne kayi sawal utha diye hain. BJP jo pehlay hi Hindustan ki un riyaston par bhi apni tavajja na sirf markooz kar chuki hai balkay Iqtidaar ke husool ke liye aisay jaaiz aur najaaiz hathkande ikhtiyar karchuki hai jis ke zareya is ke Iqtidaar ke hudood saaray Hindustan bhar mein phail jayen. Karnatak ke ek taweel siyasi natak ke baad BJP junoobi Hindustan ki is riyasat mein apne Iqtidaar haasil karne mein kamyaab hui hai, ab iske baad is ki nazar Telangana par bhi hai jabkay AP mein is ne pehlay hi Jagan mohan reddy ke zareya apne hareef Chandra babu naidu ko rasta se hataya hai.

AP mein BJP ne pehlay hi teen Rajya sabha rukan-e-parliment aisay haasil kiye hain jinhon ne TDP ko khairabad kehte hue hukoomat ki taied ki hai. unke peechay is haqeeqat par bhi hunoz parda padha hua hai ke Chandra Babu Naidu ne kiya un arkaan-e-parliment ko rawana kiya ya woh khud TDP ko khairabad kehte hue BJP mein shamoliat ikhtiyar ki. Hyd ke rukan parliment ne is mauzo par bhi sawal uthaya tha aur yeh bhi gumaan kiya ja raha hai ke Telangana se bhi kayi arkaan-e-parliment BJP mein shumoliat ikhtiyar karsaktay hain. Telangana mein decemeber 2018 ko assembly intikhabaat hue they is ke baad May 2019 mein aam intikhabaat hue lekin is 6 mah ke douran BJP ne apne vote bank mein teen gina izafah kiya hai aur lok sabha intikhabaat mein is ne chaar haeran kan nataij bhi haasil kiye hain.

Orissa mein bhi BJP ne apni rahein hamwar karli hain jahan is ne 21 arkaan-e-parliment ki fehrist mein apni futuhat ke 8 naam darj karwaye hain lekin yeh Naween patnaik ki taiz zehniat thi ke unhon ne aisi siyasi hikmat-e-amli ikhtiyar ki ke unhon ne apna Iqtidaar BJP ke hamlon se mehfooz rakha. yeh teen riyasatein aisi hain jahan BJP awwal ya aakhir apne Iqtidaar ke qadam jamanay ke liye koshan hai. yahi wajah hai ke un teen reyaston ke chief ministers par yaqeenan apne Iqtidaar ko bachanay ka khauf hai jiski wajah se un 3 chief ministers ne Rajya sabha mein BJP ka RTI mein tarmeem karne ke faislay ko himayat karna hai. mazkoorah chief ministers ne apne Iqtidaar ko bachanay ke liye BJP se khauf hokar is mutanazia koshish mein BJP ka sath diya jo markaz mein BJP aur riyasat mein apni hukoomaton ke mutlaq-ul-ananiyat banana  ke liye bhi ahem tha kyunkay haq maloomat ke zareya hi awam hukoomat ki karkardagi ke mutaliq sawal kar saktay hain lekin BJP ko yeh shuru se hi pasand nahi ke is ki karkardagi aur kamon ke mutaliq awam sawal karen. yahi wajah hai ke haq maloomat ke qanoon ko hi kamzor banaya jaye aur apni mutlaq-ul-ananiyat ko mazboot kiya jaye.

Telangana, Andhra Pradesh aur odissa ke chief ministers ki janib se qanoon haq maloomat ki tarmeemi bill ke waqt khamosh BJP ki himayat mein jahan kayi sawal uthaye hain wahein greater noida ki university ke sabiq central information commissionaire aur Nalsar university of hyderabad ke constitutional  law ke sath professor DK singh ne mazkoorah teen chief ministers ko tehreer kardah apne ek khulay maktoob mein 8 ahem sawalaat ke jawabaat talab kiye hain. tanqeed nigaard ke singh ne Naween Patnaik, jagan mohan reddy aur KCR ke mutaliq kaha hai ke unki gardanoun par BJP talwar latak rahi hai lekin is ke bawajood apne mafadaat ke liye unhon ne dushmanoun ke khaimoun mein dakhla liya hai. ab sawal yeh paeda hota hai ke dushmanon ke khaimon mein dakhla lenay ke bawajood kiya yeh sukoon ki neend sopayenge jis ke liye unke naam tehreer kardah khulay maktoob ke chand sawalaat ahmiyat ke haamil hotay hain.

Unhon ne teeno cheif ministers se istafsaar kiya ke BJP ne qanoon haq maloomat ke sath tarmeem ki hai is se central information commissioner hi nahi balkay riyasat mein mojood information commissioners ki khud mukhtari khatam ho jayegi. kiya teeno chief ministers is haqeeqat se waaqif nahi jab aap ke arkaan-e-parliment is mutanazia bill ke haq mein vote day rahay they tab aap ko yeh andaza nahi tha ke aap markazi hukoomat ko reyasti umoor mein mazeed dakhal andazi ke liye raah hamwar nahi kar rahay they jis me n khaas kar azaadi ke usool badal diye jasakte hain.

Kiya teen chief minister is haqeeqat se waaqif nahi they ke woh apni dastoori azaadi ko markazi hukoomat ke agay khud supurdgi kar rahay they. kiya yeh teeno chief ministers is haqeeqat se waaqif nahi ke BJP ki qanoon haq maloomat mein himayat darasal batadreej Dehli hukoomat ke agay apni khud mukhtari ko khatam karna hai jis se apni reyasti awam ke bunyadi huqooq khatam honay ke alawa hindustani dastoori haqooq mein bhi mudakhlat hai. kiya yeh teen chief minister is haqeeqat se waaqif nahi they ke BJP ki jis koshish mein unke arkaan-e-parliment himayat kar rahay they woh darasal hazaroun hindustaniyoun ki khudmukhtaari ko khatam karne aur sirf 10 rupay ki darkhwast ke zareya apni shikayat arbab-e-mijaz tak pohanchanay ke alawa maloomat haasil karne ke liye thi. yahi nahi balkay hindustaniyon ki yeh woh taaqat thi jis ke zareya woh badunwaniyon ke khilaaf apni aawaz utha sakte they. hukoomat ke chote aur badey mehakmon mein kayi aisay ohdedar mojood hain jinki bad-unwaniyoun aur roshit khori ke khilaaf awam apni aawaz buland kar saktay they. is maktoob mein un teen chief ministers se kiya janay wala ek aur sawal bhi kaafi ahem jis mein poocha gaya ke un teen chief ministers ne is ghair dastoori, ghair jamhoori aur mukhalif wifaqi bill ki himayat karte hue kiya haasil kiya hai. –YTN STAFF