Monday, May 20, 2024
HomeHyderabadKCR Majlis aur Majlis Musalmanoun ka ista-aal karne phir tayyar

KCR Majlis aur Majlis Musalmanoun ka ista-aal karne phir tayyar

Chief Minister se Asaduddin Owaisi ki Muslim wafad ke sath mulaqaat par Amjadullah ki shadeed tanqeed
Hyderabad:
Hindustan mein is waqt NRC ki wajah se khauf ka mahol hai aur musalmanoun ki ek badi tadaad apne apne ilaaqoun mein Muslim qaideen aur ulmaye moshaykhin ki simt umeed bhari nazroun se dekh rahi hai, Muslim qaideen ki Wazeer e Azam , Chief Minister, Markazi wazeer aur reyasti wazeer se honay wali har mulaqaat ki tafseelaat jan-nay ke liye musalman kaafi mutajasus hain. Un hi halaat mein guzashta roz Hyderabad ke rukan parliament aur Majlis ke quied Asaduddin Owaisi ki sarparasti minayak wafad Telangana ke Chief Minister KCR se mulaqaat kiya aur ye mulaqaat NRC aur musalmanoun ke masail ke zimn mein kaafi ahmiyat ki haamil tasawwur ki jarahi thi lekin is mulaqaat ke baad Asaduddin Owaisi aur un ki sarparasti mein jo wafad KCR se milnay gaya tha un ke darmain kiya baat hui is ki tamam tar tafseelaat awam tak nahi pohanchai gayi bas sirf ek tasalii digayi jis ke baad is mulaqaat par ek sawalia nishaan lag chuka hai aur kayi gooshoun se is mulaqaat ko NRC masail ke hal se ziyada aindah mah honay walay baldi intikhabaat mein Majlis aur TRS ke mafadaat ke tanazur mein dekha ja raha hai.
Is mulaqaat par tanqeed karte hue MBT ke quied Amjadullah ne kaha ke Asaduddin ki sarparasti mein jo 40 afraad ka wafad KCR se mulaqaat kiya is ne naye shubhat peda kardiye hain. MBT ne Muslim rehnumaoun    ke KCR se mulaqaat par shukook o shubhat peda kardiye aur sawal kiya hai ke poocha ke ye mulaqaat NRC ke zimn mein thi ya municiple intikhabaat mein TRS ko jeetnay mein madad dainay ke liye…. ?
Amjadullah Khan ne apne bayan kaha ke Asaduddin Owaisi ( MP ) aur sadar AIMIM ki sarbarahi mein K Chandrashekar Rao se mulaqaat par shukook o shubhat ka izhaar kiya aur kaha ke Telangana mein baldeati intikhabaat ke elaan ke 2 din baad ye mulaqaat na qabil feham hai kyunkay Muslim leaderoun ko decemeber 2018 ( Assembly intikhabaat ) ke baad kabhi bhi KCR ne mulaqaat ka mauqa nahi diya aur ab Baldi intikhabaat ke elaan ke baad achanak NPR NRC ke CAA baray mein baat karne ke liye achanak dopehar ke khanay par bulaya.

Amjadullah Khan ne kaha ke jab se TRS barsar Iqtidaar aayi aur K Chandrashekhar Rao Telangana ke chief Minister banay to kishan Bagh fasadaat, alair jaali encounter jis mein 5 afraad halaak hue. Mehdipatnam Army Cader mein Army ke logoun ke zareya Mustafauddin ko jala dena, Hazaar croredoun maliyat ki waqf amlaak ko nuqsaan pouncha aur 12 feesad tahaffuzaat par koi pesh raft nahi hui. KCR ne apne masail ki numaindagi ke liye kabhi bhi Muslim rehnumaon ko waqt nahi diya. Lekin ab achanak am KCR ne Assembly intikhabaat karwane ka socha to unhoun ne Muslim rehnumaoun se mulaqaat ki aur hamesha ki tara lollipop diya hai aur un qaideen ka istemaal shuru kardiya hai. Intikhabaat 2018 ke baad unki himayat karne walay Muslim rehnomaoun mutadid martaba KCR se milnay ki koshish ki lekin wo Triple Talaq aur Babri Masjid faislay ke douran kabhi bhi Muslim qaideen se mulaqaat nahi ki lekin ab baldeati intikhabaat ke pesh e nazar si KCR aur is ke hawarioun Asaduddin Owaisi ek baar phir tavajja ke markaz ban gaye hain.
Amjadullah Khan ne kaha ke agar KCR itnay sachey hain to inhen khol kar samnay aana chahiye aur CAA NRC aur NRP si ke khilaaf ehtijaj karna chahiye kyunkay maghribi Bengal ki wazeer alla Mrs Mamata Benejee aur kerala ke wazeer alla Pinarayi Vijayan NRC ke khilaaf sadkoun par utar kar ehtijaj kar rahin aur Asaduddin Owaisi kyun un 13 reyastoun ke chief Minister ki terhan shadeed ehtijaj kyu nahi kar rahay hain? Khan ne kaha ke CM KCR ghair mutawaqqa shakhs aur bohat hi chalaak shakhs hain aur ye achi terhan jantay hain ke kis waqt kis ko istemaal karna hai aur istemaal ke baad inhen tissue paper ki terhan Dustbin mein phenkna hai. Mister Khan ne kaha ke Mister Owaisi ne Muslim mutahidda mahaaz ke naam se unhi Muslim rehnomaoun ko 2004 aur 2009 ke douran congress ke haq mein intikhabi muhim chalanay ke liye istemaal kiya hai aur ab inhen TRS ke liye istemaal kar rahay hain. CAA NRC ke khilaaf ehtajaji jalsay aur reliyan nikaalte ki ijazat nah dainay mein Telangana police ki karwai par bhi tanqeed ki. –YTN STAFF