Saturday, April 27, 2024
HomeSliderKCR Ko Gujishta 7 Saal Ke Dauran Dalit Ki Taraqqi Ka Khayal...

KCR Ko Gujishta 7 Saal Ke Dauran Dalit Ki Taraqqi Ka Khayal Nahi Aaya

Hyderabad: Huzurabad zimni inteqabat mein dalit bandhu scheme ko mutaarif karne ke baad chief minister KCR ka har goshen se tanqeed ka nishana banaya jaraha hain. Daree asnaa congress rukun assembly sitaka ne bhi ilzam aayed kiya ke KCR ko sirf zimni inteqabat ke waqt awaam ki taraqqi aur bhalai ka khayal aata hain. Dalit ki muaashi taraqqi ka khayal gujishta 7 saal ke dauran chief minister ko nahi aaya jabke Huzurabad ke zimni inteqabat se ain qabl chief minister ne har khandan ko 10 lack rupiye ki imdaad par mushtamil dalit bandhu scheme ka elaan kiya hain.

Media numaindo se baat cheet karte huwe sitaka ne kaha ke 7 saal qabl KCR ne Medchal Malkajgiri Zilaa ke modo Chintapally ko taraqqi ke liye adaubt kiya tha lekin gaun ki taraqqi ke liye koe iqdamat nahi kiye gaye. Chief minister ke wadon ko awaam mein be naqaab karne ke liye 24 aur 25 August ko congress sadar Reventh Reddy ki qiyadat mein 48 ghanton ki bhook hartaal ka faisla kiya gaya hain. Unho ne kaha ke Reventh Reddy aur party ke deegar qaideen 24 August ki raat mein modo Chintapally gaun mein shab basri kareinge aur woh ehtejaaj ke khatam tak maujood raheinge.

Sitaka ne kaha ke chief minister ne haal hi mein bhongir zilaa ke waslamari gaun ko taraqqi ke liye adaubt kiya hai aur siyasi faide ke liye 74 khandano mein dalit bandhu scheme ki raqam jaari kardi gayi. Unho ne kaha ke jis tarha Chintapally gaun ko Chief Minister ne nazar andaz kardiya hain wahi haal waslamari ka hoga. Congress KCR ke waadon aur elaanat ko awaam ke darmiyan be naqaab karna chahti hain. Dalit se chief minister ki humdardi mehaz dikhawa hain aur Huzurabad zimni inteqabat ke fauri baad tamaam elaanat ko baraf dan ki nazar kar diya gaeig.