Sunday, May 5, 2024
HomeSliderKCR kisanon se talba aur be-rozgaar afraad par tawajah markooz karne ke...

KCR kisanon se talba aur be-rozgaar afraad par tawajah markooz karne ke liye majboor

Hyderabad: Aisa lagta hai ke telangana ke chief minister KCR ne haliya intikhabi nakamiyoo aur dhakkoun ke badjo ke unki party ko BJP ke hathon bardasht karne pade hain ab apni kursi bachanay ke zimn mein kaafi sanjeeda ho chukay hain. Nai riyasat telangana ki tashkeel aur 6 saal pehlay bar-sar-iqtedar aanay ke baad se KCR  ne zaraat, kashtkaron aur aab paashi par ziyada tawajah di thi taham haliya intikhabi dhakoun ne ishara diya hai ke is hikmat e amli ke nateejay mein TRS talba aur be-rozgaron se door hogayi hai jo riyasat telangana ke wujood mein ek ahem kirdaar ada kar chukay hain. yeh do tabqay TRS hukoomat se unko nazar andaz karne par naraaz dikhayi dete hain jiske liye ab guzashta 6 saal mein mukhtalif mehakmon mein mojood hazaron makhlua jayidadon par taqarurat ko par karne par tawajah markooz karli gayi hai.

TRS zaraye ne kaha hai ke KCR ki janib se haliya intikhabi dhakoun par kiye gaye post-mortem se inkishaaf hua hai ke TRS mukhalif vote mustahkam thay aur BJP ko is se faida hua. post martam se zahir hua hai ke TRS hukoomat ki taraf talba aur be rozgaar afraad mein shadeed narazgi hai aur iski jhalak intikhabi nataij mein bhi mili hai. soorat e haal ka khatrah pehchante hue KCR is muamlay ko sanjeeda le chuke hain kyunkay inhen maloom hai ke TRS ko is narazgi ka aindah intikhabaat mein bhaari qeemat ada karni padh sakti hai.

KCR achanak elaan ko mukhtalif sarkari mehakmon mein 50 hazaar mulaazmaten pur karne ke elaan kiya taakay naye saal ke aglay chay mahino mein badi bharti muhim chala kar talba aur be-rozgaron ka etemad haasil kiya jasakay. agarchay KCR ne makhlua jayidadon par ibtidayi takhminay 50 hazaar lagaya hai lekin mukhtalif mehakmon se mossola it-tila-aat se pata chalta hai ke jayidadin 1 laakh se ziyada hain. talba aur be-rozgaron ne 2009 aur 2014 ke darmiyan telangana riyasat ki tehreek azadi mein aur TRS ko Iqtidaar mein laane mein kaleedi kirdaar ada kiya tha.

KCR ne guzishta 6 saloun mein apna beshtar waqt aab paashi mansoobon, rythu Bandhu , rythu bhima waghera par tawajah di jis mein yeh sab kaasht karon ki fikar hai. unhon ne guzashta 6 saloon mein sarkari bhartion ya talba ya be rozgaar se mutaliq kisi bhi muamlay par mushkil se hi ek jaiza ijlaas ki sadarat ki. KCR decemeber 2018 mein doosri muddat mein be rozgaron ko 3016 rupay mahana be rozgari allowence dainay ka wada karkay Iqtidaar mein aaye thay. lekin yeh scheme ek inch bhi agay nahi badh saki halaanke unhon ne 13 decemeber ko apne ohday par 2 saal poooray kiye thay.