Saturday, May 11, 2024
HomeSliderKCR ka faisla aur Akberuddin Owaisi ki sataish siyasi Drama

KCR ka faisla aur Akberuddin Owaisi ki sataish siyasi Drama

Telangana Assembly mein manzoor kardah qarardad mein NPR ko rokne ka kahin tazkara nahi: Ajdullah Khan

Hyderabad: Riyasat Telangana ke Chief Minister KCR ne guzashta roz Assembly mein shehriat tarmeemi qanoon ( CAA ) ke khilaaf ek qarardad manzoor ki hai jis ki MIM ke alawa deegar jamaatoun ke sath awam ne bhi sataish karne ke alawa is ka khermuqdam kiya lekin Majlis Bachao Tehreek ke qayed Amjadullah Khan ne is qarardad ko ko Chief Minister KCR ka ek siyasi Drama qarar diya hai.

Amjadullah Khan ne apne sahafti bayan mein KCR ki janib se manzoor ki jaaney wali qarardad jo ke 6 sifaat par mushtamil hai is ki tafseelaat batatay huve kaha ke un 6 safhaat par mushtamil qarardad mein kahin bhi is baat ki wazahat nahi hai ke yakam April se honay walay NPR ki sar garmioun par rokk lagai jaye gi. Amjadullah Khan ne kaha ke unhoun ne baldia aur deegar shobay jaat ka dora kiya hai jahan yakam April se mulk bhar mein abadi ke liye kiye jaaney walay Survey ki tayyariyan mukammal hochuki hain jabkay Assembly mein KCR ka bayan darasal un ke qoul aur feal mein tazaad ka khula saboot hai.

KCR pass resolution in Telangana Assembly

Amjadullah Khan ne riyasat Telangana Assembly mein manzoor ki jaany wali qarardad ke 6 safhaat ka mawazna maghribi Bengal aur Kerala mein manzoor ki jaany wali qarardad ke ek safhaat ki qarardad se kiya aur kaha ke maghribi Bengal ki Assembly mein manzoor ki jaany wali qarardad jo ke sirf ek safhaat par mushtamil hai is mein wazeh tor par NPR ki sar garmioun par pabandi lagani ka bayan aur elaan hain jabkay riyasat Telangana ki Assembly mein manzoor kardah qarardad ke 6 safhaat mein kahin par bhi aisa wazay bayan nahi kiya gaya hai ke yakam April se riyasat Telangana mein honay wali sar garmioun par pabandi ayed ki jaye gi.

Amjadullah Khan ne KCR ki niyat par shak zahir karte huve ye bhi kaha ke Chief Minister ne Assembly mein diye gaye apne bayan mein goli maaro saloon ku ki muzammat hai lekin riyasat Telangana ke mukhtalif ilaaqoun aur Hyderabad ke mukhtalif maqamat par mutanazia aur kalay qanoon ke khilaaf ehtijaj karne wali khawateen aur talba ke alawa Million March mein shirkat karne walay afraad aur is ke muntazmeen ke khilaaf kayi muqadmaat darj kiye gaye hain. Alawa azeen mutanazia qanoon ke haq mein honay walay ek ek jalsay mein Supreme Court ki wakeel ne is terhan ke naaray khud Hyderabad mein lagaye thay lekin un ke khilaaf shikayat darj karne ke baad aaj tak koi muqadma darj nahi huva hai, Jabkay doosri janib Qulli Qutub Shah Stadium mein munaqidah ek jalsay ke douran Imran Partab Garhi ne sirf ye sawal kiya tha ke Hyderabad mein Shaheen Bagh kyun nahi hai aur un ke ek jumlay par un ke khilaaf muqadma darj kar diya gaya hai.

KCR pass resolution in Telangana Assembly

Riyasat Telangana ke Chief Minister KCR ka Assembly mein diya janay wala bayan awam ko gumraah karne aur siyasi Drama baazi hai jo ke Hindustan ke wazeer e dakhla Amit Shah ke Parliament mein diye janay ke bayan ke mumasil hai, To doosri janib jab muqami Leader Akbaruddin Owaisi ne Chief Minister ke bayan ki dil khol kar tareef ki hai. Mutanazia qanoon par Amit Shah ke bayan ke baad KCR ka bayan inhen chhootay Amit Shah ke tor par pesh kar raha tha jabkay Akbaruddin Owaisi ki janib se Chief Minister ki tareef ne inhen Munjal Amit Shah bana diya. Chief Minister KCR ki qarardad aur Akbaruddin Owaisi ki janib se Chief Minister ki sataish siyasi Drama baazi se ziyada kuch nahi. Amjadullah Khan ne Hydrabadi awam aur khaas karkay Telangana ke Secular afraad se mutalba kiya hai ke wo KCR ke is siyasi Drama baazi aur chalaak bayan baazi ke dhokay mein na ayen balkay apna na wo ehtijaj jo unhoun ne kalay qanoon ke khilaaf shuru kiya tha is ko jari rakhen. – YTN STAFF