Hyderabad: Congress ke rukan Parliament Revanth Reddy ney jumaraat ko wazeer e aala K Chandrashekhar Rao par ilzaam lagaya ke KCR ney ahal IAS afsaraan ko apna sarbara muqarrar karne ke bajaye na ahal Prabhakar Rao ko Telangana GENCO, ka CMD muqarrar karkay awaami raqam lout rahay hain.
Media numaindon se baat karte huwe Revanth Reddy ney ilzaam lagaya ke wazeer e aala ke Chandrashekhar Rao ney jazbaat ka istemaal kiya aur payse udaaye. Unhon ney yeh bhi ilzaam lagaya ke Chhattisgarh hukoomat ke sath lambay arse tak barqi ki khareedari ke muahiday ki wajah se riyasat ko badey nuqsaan ka saamna karna pada hai.
Revanth Reddy ney media numaindon se khitaab karte huwe kaha ke is waqt ke mehakma barqi ke Secretary Arvind Kumar ko un ke ohday se hata diya gaya tha, kyunkay unhon ney reyasti hukoomat ke barqi ki kharidari ke muahidon mein mojood khamion ko ujagar karne ke liye khat likha tha. Revanth Reddy ney ilzaam lagaya ke Chhattisgarh riyasat se 1000 mega wat ki kharidari ke peechay Adani company ka haath hai. Unhon ney kaha ke Adani Marva Thermal Power Plant ko koyla supply karte hain. Unhon ne kaha ke company ko faida pohanchanay ke liye awam par 1200 crore rupiyon ka boojh dala gaya.
Unhon ney yeh bhi ilzaam lagaya ke Prabhakar Rao yeh ghalat bayan day rahay hain ke reyasti hukoomat 3.90 rupiye fi unit ke hisaab se bijlee faraham kar rahi hai. Unhon ney ilzaam lagaya ke Prabhakar Rao awaami raqam lotney mein wazeer e aala ki mukammal himayat kar harey hain aur kaha ke bijlee ke najaaiz istemaal ki wajah se 2016-17 ke douran riyasat ko 957 crore rupiye ka nuqsan huwa hai. Revanth Reddy ney ilzaam lagaya ke Riyasti hukoomat NDPC ko araazi allot nahi kar rahi hai, jo riyasat ko sastay narkh par 4000 mega what bijlee dainay ka wada kar rahi hai.