Saturday, May 4, 2024
HomeOthersBusinesskayi shobo mein GST mein izafah awam ke liye pareshan kan

kayi shobo mein GST mein izafah awam ke liye pareshan kan

New Delhi : GST council ke ijlaas ke baad phir mayoosi ka mahol bana hai kyunkay is ijlaas mein kayi ahem faislay kiye gaye. is ijlaas mein Modi hukoomat ne kuch shobo mein GST takhfeef karne ke sath kuch shoboun ki GST mein izafah bhi kar diya.

GST sharah mein takhfeef se jin shobo ko faida hoga is mein hotel, zewaraat, difaa aur automobile ahem hain lekin ( coca cola jaisay mashroob ), railway wagons, coach aur rolling stock waghera mein GST badha diya gaya hai.

GST council ke ijlaas ke baad markazi wazeer maalyaat Nirmala sitharaman ne elaan karte hue kaha ke ab 7500 rupay fee shab kiraya walay hotel room par 18 feesad GST lageyga. wahein 1000 rupay se 7500 rupay tak ke kiraya walay hotel room par 12 feesad GST lageyga aur 1000 rupay se kam kiraya walay kamron ko GST nahi dena hoga.

Qabil-e-ghhor yeh hai ke GST council ne patte aur chamday se tayyar honay walay cup plate par GST nahi laganay ka faisla kiya hai, halaanke coca cola jaisay mashroob par GST ki sharah 18 feesad se badha kar 28 feesad kar diya gaya hai. itna hi nahi un mashroob par 12 feesad ka Sees bhi alag se lageyga. is izafah ke baad aam logon ke liye un mashrobat ko peena mehanga saabit hoga.

Bahar haal, council ne difai masnoaat ko GST se chooth day di hai taakay is shoba ko farogh diya jasakay. council ne 13-10 logon ke baethnay ki salahiyat walay musafir gadiyon par companies ko 3-1 feesad ghata diya hai jis se unki qeematein kam hongi. halaanke railway wagon , coach aur rolling stock GST 5 feesad se badha kar 12 feesad kar diya gaya hai jis ki taraf logon ka zehen kam hi gaya hai. yeh sabhi tarmeem shuda GST sharhein 1st october 2019 se nafiz hongi. jahan tak zewraat shobo ki baat hai, isko farogh dete hue council ne Polish Semi presses masnoaat par GST ki sharah ko teen feesad se ghata kar 0.25 feesad kar diya hai.

Qabil-e-zikar hai ke rawan maali saal ke pehlay sah mahi arsa mein maeeshat ka bura haal honay ki wajah se modi hukoomat ne taraqqi ko farogh dainay aur tajiroun ki hosla afzai ke liye yeh qadam uthaye hain. April, June sah mahi mein GDP ki sharah taraqqi ghatt kar chay saal ki zeli satah 5 feesad par pohanch gayi thi, jiske baad modi hukoomat ki kaafi badnami hui. yahi sabab hai ke markazi wazeer maalyaat Sitharaman ne maeeshat ko patri par laane ke liye 23 august se ab tak chaar martaba press conference kar chuki hain aur is mein kayi elanat bhi hue hain. –YTN STAFF