Srinagar: Kathua Ismat rezi wo qatal muqadma ki mutasirah bachi ke waalid Mohammad Yousuf Pujwala ke zaati wakeel Mubin Farooqi ne kaha hai ke woh muqadma ke teen kaleedi mujrimoun ki sazae mout aur deegar teen ki sazaon mein mazeed izafay ke liye neez muqadma ke ek mulzim ko bari qarar dainay ke khilaaf Punjab Haryana high court ka darwaaza khatkhatayinge.
yaad rahay ke guzashta roz district and sessions judge Pathankot dr Tejwinder singh ne Kathua Ismat rezi wo qatal muqadma ke mansoobah saaz wo sabiq sarkari ohdedar Sanjiram , Parwesh kumar aur SPO deepak Khajooria ko tahyat qaid ki saza jabkay deegar teen Bashmole SPO Surendra kumar, sub inspector aanand Dutta aur head constable Tilak raj ko fee kas paanch saal qaid ki saza sunai. judge ne Sanjiram ke betay vishal Jangutra ko thos shawahid ki Adam moujoodgi ki bina par bari kardiya.
Mubin Farooqi ne karte hue kaha ke mulzimon ki sazaon ko mazeed sakht karwanay ke liye woh mutasirah bachi ke waalid ki appeal leker Punjab, Haryana high court ki taraf rujoo karenge. yeh appeal Supreme court ki Hidayat ke ain mutabiq dair ki jayegi.
Hum muqadma ke teen kaleedi mujrimoun Sanjiram, Parwesh kumar aur SPO Deepak Khajooria ki tahyat Umar qaid ki saza ko sazae mout mein tabdeel karwanay, teen deegar mulzimon SPO Surendra kumar, sub inspector Aanand Dutta aur head constable Tilak raj ki paanch barson ki saza mein mazeed izafah karwanay aur bari shuda mulzim vishal Jangutra ko bari qarar dainay ke khilaaf Punjab Haryana high court ka darwaza khatkhtayinge aur istighasa bhi un mamlaat par aala adalaton ki taraf rujoo karega.
Mubin Farooqi ne kaha ke adalti faislay se mutasirah bachi ke walidain wo deegar ahbaab Iqareb mutmaen bhi hain aur khush bhi hain. mein ne mulzimaan ko mujrim qarar diye jaaney ke fouran baad mutasirah bachi ke walidain aur deegar rishtedaaron ke sath baat cheet ki. woh adalti faislay par mutmaen bhi they aur khush bhi they kyunkay inhen kuch log bata rahay they ke is muqadma mein kisi ko saza nahi mileygi aur inhen bari kiya jayega. Mubin Farooqi ne is adalti faislay ko insaaf ki jeet qarar daitay hue kaha humari jeet insaaf ki jeet hai yeh un logon ki haar hai jinhoun ne is muamlay par siyasat karne ki koshish ki, umeed hai ke is faislay se aaye din samnay anay walay bachiyon ke sath ziyadtio ke waqeat par rok lageygi. istighasa mein se mujhe sub se ziyada bharosa tha ke hamari mehnat rang laayegi aur mulzimaan ko saza mileygi. istighasa mein se mujhe sub se ziyada bharosa tha ke mulzimon ko saza mileygi, mujhe poora bharosa tha ke hamari mehnat zaya nahi hogi, hamein Allah par bharosa tha ke bachi ko insaaf mileyga.
District and sessions judge Pathankot ne sobah jammu ke hindu aksriti zila Kathua ke risana Nami gaoun mein 2018 January mein paish aeye aath sala Bakrawal ladki ki wehshiana ismat darri wo qatal muqadma ke aath mein se 6 mulzimaan ko mujrim qarar dete hue teen ko tahyat qaid ki saza jabkay deegar teen ko fee kas paanch saal qaid ki saza sunai. Awal zikar par fee kas ek laakh rupay jabkay aakhr alzikr par fee kas pachaas pachaas hazaar rupay ka jurmana aed kiya. judge ne satwe.
Mulzim vishal Jangutra ko thos shawahid ki Adam moujoodgi ki bina par bari kardiya. aathwan mulzim jo ke na baligh hai aur jis ne kamsin bachi par sub se ziyada zulm dhaya tha is ke khilaaf trial anqareeb court mein shuru hosakti hai . –YTN STAFF