Pathankot : Punjab ke zila Pathankot mein district and session court ney aaj subah jammu ke hindu aksriti zila Kathua ke risana Nami gaoun mein 2018 ke January mein paish aeye 8 sala kamsin larki ki wehshiana ismat rezi wo qatal muqadma ke 8 mein se 6 mulzimaan ko mujrim qarar dete hue teen ko Umar qaid ki saza jabkay deegar teen ko fee kas paanch saal qaid ki sunai.
Court ney satwen mulzim vishal Jangutra ko thos shawahid ki Adam mojoodgi ki bina par buri kardiya. aathwan mulzim jo ke na baligh hai aur jis ney kamsin bachi par sab se ziyada zulm dhaya tha, ke khilaaf trial anqareeb joniyal court mein shuru hosakti hai. muqadma ke mulzimaan mein ismat darri wo qatal waqea ke mansoobah saaz Sanji raam, iska beta vishal Jangutra, sanjiraam ka bhatija ( na baligh mulzim ), na baligh mulzim ka dost Parwesh kumar urf munnu, SPo deepak Khajooria , SPo surendar kumar, tehqiqati ohdedar sub inspector Anand dutta aur head constable Tilak raj shaamil they .
District and session judge pathankot dr Tejwinder singh ney mansoobah saaz sanji raam, parwesh kumar aur SPO Deepak Khajooria ko tahayaat qaid ki saza jabkay deegar teen Bashmole SPO surendar kumar, sab inspector Anand dutta aur head constable Tilak raj ko fi kis paanch saal qaid ki saza sunai. judge ney sanji raam ke betay vishal jangutra ko thos shawahid ki Adam mojoodgi ki bina par buri kardiya .
Charge sheet mein Sanji raam par ismat dari wo qatal ki saazish rachaane, vishal, na baligh mulzim, parwesh aur SPO Deepak Khajooria par ismat dari wo qatal aur SPO surendar kumar, tehqiqat wo ohededar Tilak raj wo Anand dutta par jurm mein muawnat aur shawahid mitanay ke ilzamaat lagey they.
Mutasirah 8 sala bachi ke waalid ke zaati wakeel Mubin Farooqi ney adalat ke ihatay mein media ko bataya ke mulzmin ko sazayen milnay se sach ki jeet hui hai. yeh jeet tamam tabqaat hindu, muslim, sikh aur esaion ki kamyabi hai. mulzimaan ke wakeel AK saoni ney kaha ke judge sahib Dr Tejwinder singh ney ek saal tak is muqadma ke siwa koi dosra muqadma haath mein nahi liya. is ke liye hum unn ki sitaish karte hain. ab sawal hai ke hum ney ba-hasiat wukala safayi aaj kiya khoya kiya paaya. vishal jangutra ki jeet hui hai. woh muqadma mein kahin bhi mulawis nahi they. teen mulzimaan sanji raam, deepak Khajooria aur parwesh ko qatal, ijtimai ismat raizi, aghwa, saazish aur ghair qanooni hirasat se mutaliq daf-aat ke tehat saza sunai gayi. deegar mulzimaan sub inspector Aanand dutta, head constable Tilak raj aur SPO surendar kumar ko shawahid mitanay se mutaliq dafaa 201 ke tehat saza sunai gayi .
mulzimaan ke ek aur wakeel Ankur sharma ney kaha ke hum faislay se bohat haeran hain. hamara maanna hai ke yeh ek bura faisla hai. yeh aik mutassbana faisla hai. hum is ko challenge karenge. hum faislay ki copy haasil karne ke baad aala adalatoun ka darwaaza khatkhatayinge. 3 June ko judge Dr Tejwinder singh ney istighasa aur wukala safai ki taraf se paish kiye gaye hatmi dalail suneney ke baad muqadma ka faisla mehfooz rakha tha aur usay 10 June ko sunanay ka imkaan zahir kiya tha. Kathua maamla baaz siyasi jamaaton ke leader ki taraf se mulzimaan ko bachanay ki koshisho, hindu ekta munch Nami tanzeem ki taraf se mulzimaan ke haq mein tirangaa bardaar juloos nikaalte, Kathua mein wukala ki janib se crime branch ko mulzimaan ke khilaaf charge sheet dair karne se roknay aur mutasirah knbe ke samaji boycott ke sabab aalmi satah par khabron mein raha. bachi ke haq mein darjanon mumalik mein raliyan nikaali gayi theen .
yaad rahay ke muqadma ki un camera aur rozana bunyadon par samaat qareeb aik saal tak jari rehne ke baad 3 June ko ekhtataam Pazeer hui aur district and sessions judge Dr Tejwinder singh ney faisla mehfooz karte hue 10 June ko sunanay ka imkaan zahir kiya tha. Supreme court ke ehkamaat par 31 May 2018 district and sessions court pathankot mein muqadma ki un camera aur rozana ki bunyaad par samaat shuru hui thi. is douran adalat mein muqadma ki qareeb 275 samaatain huien aur 132 afraad adalat mein bator gawah paish hue .
Muqadma ki tehqiqaat jammu and Kashmir police ki crime branch ney ki thi aur mulzimaan ke khilaaf charge sheet 9 April 2018 ko paish ki thi. crime branch ney tehqiqaat ke douran 130 gawahoon ke bayanaat record kiye they jin mein se istighasa ki taraf se 116 gawah adalat mein paish kiye gaye. Ek makhsoos tabqay se talluq rakhnay walay chand gawah adalat mein apne itrafi bayanaat se munharif bhi hue .
Zila intizamia pathankot ney adalat ke ird gird teen dairon wali security ka bandobast kiya tha. kisi bhi fard Bashmole media ko adalti kamray ke andar daakhil honay ki ijazat nahi di gayi. jabkay mulzimaan ko Punjab police ney bullet proof gaadi mein adalat laya .
Istighasa ki taraf se muqadma ki pairwi special public prosecutors santok singh bsra aur Jagdesh kumar chopra ney ki jabkay inhen mutadid deegar wukala bashamol KK puri, Harbachpan singh aur Mubin Farooqi ( mutasirah bachi ke waalid Mohammad Yousuf pajwal ke zaati wakeel ) unke Muawin they. mulzimaan ki taraf se muqadma ki pairwi AK saoni , Subash Chandar sharmaa, vinod mahajan aur Ankur sharmaa ney ki .
Qabil-e-zikar hai ke zila Kathua ke tehseel Heera nagar ke gaon ki rehne wali aath sala kamsin bachi jo ke gurjar bakrowal tabqa se talluq rakhti thi, ko 10 January 2018 ko is waqt aghwa kiya gaya tha jab woh ghodoun ko charanay ke liye nazdeeqi jungle gayi hui thi. is ki laash 17 January ko heera nagar mein jhadion se bar aamad ki gayi thi. crime branch police ney May ke mahinay mein waqea ke tamam 8 mulzimaan ke khilaaf chalaan adalat mein paish kya. crime branch ney apni tehqiqaat mein kaha tha ke aath sala bachi ko rissana aur is se mulhiqa gaoun ke kuch afraad ney ismat rezi ke baad qatal kiya. tehqiqaat ke mutabiq mutasirah bachi ke aghwa, ismat dari aur sifakana qatal ka maqsad ilaqa mein rahaish Pazeer chand gujjar bakrawal kumboun ko darana dhamkana aur naqal makani par majbor karna tha. tehqiqaat mein inkishaaf hua tha ke kamsin bachi ko aghwa karne ke baad ek muqami mandir mein qaid rakha gaya tha jahan usay nasha aawar adwiyaat khilai gayeen aur qatal karne se pehlay usay musalsal darindagi ka nishana banaya gaya . –YTN STAFF