Monday, May 20, 2024
HomeIndiaKashmiri awam urdu akhbarat padhney ke liye be-tab

Kashmiri awam urdu akhbarat padhney ke liye be-tab

Srinagar : Aqwam-e-mutahidda ki general assembly mein Hindustan aur Pakistan ke wazraye Azam ke khitabat ki khabrein padhnay ke Ishtiaq ne waadi Kashmir mein awam ko nashtay ke bajaye akhbar kharidne par tarjeeh dene par majboor kiya jiske nateejay mein haftay ki subah 9 bajey tak tamam stalls par akhbar khatam hogaye.

Shehar srinagar ke alawa qasba jaat mein bhi logoun ko dukanoun, lab sadak chootey parkoun balkay sadkoun par bhi akhbar beeni mein ghark dekha gaya aur aqwam-e-mutahidda ki General Assembly mein Pakistani Wazeer-e-Azam Imran Khan ke khitaab ke 3 tareefoun ke pall bandhtay hue bhi suna gaya.

Taham yahan yeh baat qabil-e-zikar hai ke har 10 afraad mein se 9 afraad ke hathoun mein urdu akhbar dekhe gaye kyunkay beshtar urdu akhbarat ne dono wazraye Azam ke khitabat ke matan ko tafseel ke sath shaya kiya tha.

Yaad rahe ke Pakistani Wazeer-e-Azam Imran Khan ke aqwam-e-mutahidda ki general assembly ke 74th ijlaas se khitaab ke baad waadi ke darjanon ilaaqon mein logon ne josh mein aakar aatish baazi ki aur masajid wo khanqahon mein loud speakers par tarane bhi padhay gaye jis ke paish-e-nazar haftay ke roz hukkaam ne shehar ke mukhtalif hisson mein pabandiyan aaed kee.

Media numainda jab subah 9 baje se qabal hi bata-malo mein waqay ek akhbar Stalls par pohanch gaya to yeh dekh kar shashdar hogaya ke akhbar Stalls par akhbar kharidne walon ki bheedh hasb-e-mamool ziyada lagi hui hai lekin Stalls akhbaroun se bilkul khaali hai kyunkay kashmiriyoun ne nashtay ke bajaye awaleen fursat mein akhbar kharidne ko tarjeeh di thi.

Media numainda ne kaha ke Bat-malo mein waqay is akhbar Stalls par 9 baje ke baad bhi akhbar dastyab hotay they lekin aaj wahan 9 baje se qabal hi awam ne tamam akhbar khareed liye, wahan mojood logon mein akhbar nah milnay ki wajah se gussa tha agar akhbar farosh wahan mojood hota to shayad yeh log iski pitaayi karte.

Bata-malo ke akhbar Stalls se hi nahi balkay lalchowk mein waqay Jahangir news agency, Badshah news agency waghera se bhi 9 baje se qabal hi akhbar khatam hogaye they. alawa azeen qasba jaat mein qaim stalls se bhi hafta ke roz subah saweray hi akhbar khatam hogaye they. wasti zila badgam mein qaim ek akhbar Stalls par bhi 9 baje ke baad koi akhbar mojood nahi tha.

Akhbarat ki nayabi ke baais 20-20 afraad par mushtamil afraad ki toliyon ko ek hi akhbar padhte hue dekha gaya aur un padh logon ko akhbar padhnay walon se Pakistani Wazeer-e-Azam ke khitaab ke baaray mein tafseelaat haasil karte hue bhi dekha gaya. log Pakistani Wazeer-e-Azam ke khitaab ke baaray mein guftagu kar rahay they aur is taqreer ki jam kar tareefen kar rahay they.

Abdul Hameed Nami ek buzurug ne media ko bataya ke Imran Khan ne angrezi mein khitaab kiya jis ko mein ne achi tarhan nahi samjha isi liye ab urdu akhbar khareed kar is taqreer ko padhunga.

Unhon ne kaha mein ne kal Imran Khan ka taqreer suna woh angrezi zabaan mein tha jisko mein ne achay se nahi samjha agarchay bachay mujhe samajhate they lekin phir bhi is taqreer ko padhnay ke Ishtiaq ne mujhe subah saweray urdu akhbar kharidne par majboor kiya.

Qabil-e-zikar hai ke waadi ke beshtar urdu roznaamoun ko hind-pak wazraye Azam ke taqarir khud hi sunkar naqal karne pade kyunkay yahan internet par jari pabandi ki wajah se news agencia shaam ziyada se ziyada 8 baje tak hi kaam kar pati hain.

Idhar ek Maroof urdu rozname ke mudeer-aala ne media ke sath baat karte hue kaha ke unhon ne na sirf hind-pak wazraye Azam ke taqarir ko eksaa jagah faraham ki thi balkay inhen peshgi maang ke paish-e-nazar kam se kam 5 hazaar izafi copian chapna padi. waadi ke deegar roznamoun ne bhi hind-pak wazraye Azam ke taqarir ki ahmiyat ke paish-e-nazar izafi copian chhapi theen. –YTN STAFF