Saturday, May 10, 2025
HomeIndiaKashmir se Urdu khatam karne ki pehli koshish, Ishtiharaat Hindi mein

Kashmir se Urdu khatam karne ki pehli koshish, Ishtiharaat Hindi mein

Srinagar: Union Territory mein tabdeel hone ke sath hi Jammu-o- Kashmir mein jahan ek taraf Urdu zabaan ka sarkari darjaa manzar naame se oojhal huwa wahein waadi Kashmir mein Hindi zabaan jo yahan takreeban ghair manoos zabaan hai is mein tehreer ki gayi tijarati Hoardings namodaar hone lagi hain.

Shehar Srinagar ke kayi ilaqoun mein Hindi zabaan mein tehreer Lux sabun ki ishtihari hoardings, Jin ka size bhi bada hai aur jinhein bohat hi khoubsurti se Disigns bhi kiya gaya hai, Namodaar hui hain. Muqami loogoun ne kaha hai ke hum un hoardings par sabun ki tikia ko dekh kar samajte hain ke ye Lux sabun ka ishtihar hai lekin is par jo Hindi zabaan mein ibaarat likhi hui hai wo hum padhne se qassar hain.

Shehar Srinagar ke club Regal Chowk mein ek chaurahe par bhi Lux sabun ki ek dilkash ishtihari hoarding lagai gayi hai. Media numainday ne jab is hoarding ke paas se guzar rahay qareeb 2 darjan rahgiroun ko hoarding par tehreer ibaarat padhne ko kaha to koi bhi rahgir ibaarat ko padh na saka.

Mohammad Aamir nami ek nojawan rahgir ne hoarding ki taraf ek nazar laga kar kaha hoarding par banai gayi sabun ki tikia aur angrezi zabaan mein Lux lafz padh kar mein samaj gaya ke ye Lux sabun ka ishtihar hai jabkay Hindi zabaan mein jo kuch bhi is par tehreer hai is ko mein padhne se qasser hon.

Unhoun ne kaha ke yahan Hindi zabaan se ziyada se ziyada 2 feesad loog aashna hain baqi loogoun ke liye ye zabaan ghair manoos hai. Hindi zabaan se kisi hadd tak waaqif ek shehri ne kaha ke waadi ke baaz niji schoolon mein agarchay Hindi padhaya jata hai jis se kuch bachay to Hindi se kisi hadd tak waaqif hain lekin aam tor par loog is zabaan se nabuland hi hain.

Unhoun ne kaha ke ek aisay khittay jahan Hindi se qareeb ninanway feesad loog na aashna hain, Mein Hindi zabaan mein tijarti hoarding lagana aqal-o-feham se bahar hai. Jab loog hoarding par tehreer zabaan hi nahi padh satke hain to is ke fawaid se kaisay waaqif ho saktay hain.

Is douran guzashta mah Srinagar ke Jahangir Chowk taa Ram Bagh flyover ke kayi satonon par Hindi zabaan mein Jai shri Ram tehreer tha taham logoun ne is ke baray mein koi rad-e-amal zahir nahi kiya.

Ek Scholer ne apne tasurat ka izhaar karte hue kaha ke kisi zabaan ya Hindi zabaan mein hoardings ya dosra mawaad tehreer hona koi buri baat nahi hai aur ye kisi bhi soorat mein qabil aitraaz bhi nahi hai lekin agar is zabaan se logoun ki ghalib aksariyat nawaqif ho to is zabaan mein banner, hoarding waghera lagana sae lahasil hi saabit hogi.

Qabil zikar hai Urdu zabaan ko Jammu Kashmir ki zayed az ek sadi tak sarkari zabaan rehne ka Sharaf raha hai taham markazi hukoomat ke 5 August ke dafaa 370 aur dafaa 35 A ke tehat haasil khusoosi ikhtiyarat ki tanseekh aur riyasat ko 2 wifaqi hissoun mein munqasim hone ke faisloun ke sath hi Urdu zabaan is aizaz se mahroom hui hai.

Jammu Kashmir tanzeem no qanoon 2019 ke mutabiq Jammu Kashmir mein Assembly maaraz wujood mein ane ke baad sarkari zabaan te karne ka faisla liya jaye ga. Jammu Kashmir ke beshtar logoun ki maang hai ke Urdu zabaan jo Jammu mein bhi aur Kashmir mein bhi boli aur samjhi jati hai sarkari zabaan ke darjay se nawaza jaye. –YTN STAFF