Friday, May 3, 2024
HomeIndiaKashmir mein zindagi mushkil hogayi, Pakwaan Gas, Sabzian aur jootoun ki qeematoun...

Kashmir mein zindagi mushkil hogayi, Pakwaan Gas, Sabzian aur jootoun ki qeematoun mein be tahasha izafah

Srinagar: Na munasib mousmi halaat ki wajah se waadi Kashmir ka beroun duniya se zameeni rabita musalsal mutaser hurahe hai jis ki wajah se jahan waadi mein pakwaan Gas ki shadeed qillat peda hogayi hai wahein ashyae khordani bilkhushoos sabzion aur poultry ashya ki qeematoun mein roz Afzun ho rahay izafay se ahlyan waadi ki zindaganian ajeeran ban gayi hain. Kashmir se mossola it-tila-aat ke mutabiq Gas agencia Srinagar, Jammu qaumi shahrah band honay ka bahana banakar sarfeen ku pakvan Gas faraham karne se inkaar kar rahi hain jis se sarfeen ko us waqt Gas ki qillat se dochar hona pad raha hai jis waqt Gas ki ziyada zaroorat hoti hai.

Mossola shikayaat ke mutabiq baaz jaghoun par pakwaan Gas ki black marketing bhi shuru hui hai jahan zaroorat mand sarfeen ko fi kis Gas Cylinder ke aiwaz ek hazaar rupay se baada 100 rupay ada karne padte hain, Taham sarkari zaraye ki manen to waadi mein rasoi Gas ki koi kami nahi hai. Jammu shahrah musalsal band rehne ke baais ashyae khord o nosh ki qeematoun mein be thaasha izafah ho raha hai jis ke baais aam logoun ke mushkilaat har guzarte din ke sath dochar ho rahay hain. Is douran mausam ki be rukhi ne jahan ahlyan waadi ko darpesh masaaib o musaayel ko do bhar kardiya hai wahein logoun neh shikayat ki hai ke jootay faroshoun ne is ka bhar poor faida uthany mein koi kasar baqi nahi choadi hai.

Logoun ka ilzaam hai ke jootay farosh mousmi halaat se faida uthakar jootoun ko muqarara qeemat se kaafi ziyada farokht karkay gahakoun ko donun hathoun se lotney mein ek dosray par sabqat lainay ki zor aazmai kar rahay hain. Waadi ke baazaaroun mein jootoun ki qeemat ki jaanch karne ke tain intizamia khawab ghaflat mein hai. Media numainday neh subah jab bazaar ka dora karkay sabzioun aur poultry ashya ki taza qeemat maloom ki to tamam tar sabzioun ki qeematoun mein hosharba izafah paaya.

Kashmiri saag 60 ta 70 rupay fi kilo, Tamator 30 ta 50 rupay fi kilo, Pyaaz 40 ta 50 rupay fi kilo, Aalo 30 ya 40 rupay fi kilo, Beniz 70 ta 80 rupay fi kilo, Gobhi 60 ta 70 rupay fi kilo, Gaajar 40 ta 50 rupay fi kilo, Palaak 70 ta 80 rupay fi kilo aur shaljam 40 ta 50 rupay fi kilo dastyab then jabkay Muragh 140 ta 150 rupay fi kilo, Anday fi darjan 72 rupay aur Gosht 550 rupay fi kilo dastyab tha. Sabzioun ke sath sath phal ki qeematein bhi aasman par hain. Kelay 80 ta 100 rupay fi darjan, Seeb 60 ta 80 rupay fi kilo aur Santre 80 ta 160 rupay fi darjan dastyab they.

Ghulam Mohammad nami ek shehri ne kaha hai ke Srinagar  jammu qaumi shahrah band hojane ke sath hi ashyae khordani mein yakayak izafah honay laga hai. Unhoun ne kaha shahrah band hojane ke sath hi ashyae khord o nosh ki qeematoun mein izafah honay laga hai, Sabzioun ki qematoun mein khaas tor par aeye roz be thaasha izafah ho raha hai, Mun mangi qeemat par sabzian farokht horahe hain. Mohammad Ashraf nami ek shehri ne kaha ke ashyae khordani ki qeematoun mein izafah ho raha hai kyunkay mutaliqa mehakma khawab ghaflat mein mast hai. Unhoun ne kaha waadi mein ashyae khordani bilkhushoos sabzioun ki qeematoun mein roz afzun izafah ho raha hai.

Sabzi faroshoun ka koi pochnay wala nahi hai, Wo mun mangi qeematoun par gahakoun se sabzioun ke daam latay hain. Darin asna logoun ka ilzaam hai ke jootay farosh mousmi halaat se faida uthakar jootoun ko muqarara qeemat se kaafi ziyada farokht karkay gahakoun ko 2 2 hathoun lotney mein ek dosray par sabqat lainay ki zor aazmai kar rahay hain.

Ek shehri ne media ke sath baat karte hue kaha ke barf baari se 2 din qabal jo joota mein ne ek so nawway rupay mein khareeda wohi joota barf baari ke baad 3 so rupay mein farokht kiya ja raha hai. Unhoun ne kaha barf baari se qabal mein ne Srinagar mein ek dukandaar se plastic ka ek joota ek so nawway rupay mein khareeda, Barf baari ke baad mujhe dosra joota khareedna para jab mein dukandaar ke paas pouncha isi jootay ki qeemat 300 rupay thi. –YTN STAFF