Srinagar : Jammu & Kashmir mein Article35A ko lekar kaafi halchal machi hui hai. aur logoun mein khauf wo haras ka mahol hai. doosri taraf jammu Kashmir hukoomat ne jummay ko ek advisory jari karkay waadi Kashmir mein moujood amarnath yatriyoun aur siyahoun ko fouran wapas chalay jaane ke liye kaha gaya. advisory mein kaha gaya ke intelligence it-tila-aat hain ke yatra ko nishana banaya ja sakta hai.
Isi tarha jammu Kashmir ke kishtwar zila ki 43 dinon tak chalne wali ”Yatra“کو security wujohaat ki bana per hafte ko rok diya gaya. hukkaam ki janib se logon ko yatra nah shuru karne aur jo log rasta mein hain inhen wapas loutney ko kaha gaya hai. yeh yatra 25 ko shuru hui thi aur paanch September ko khatam honi thi. iske alawa Kashmir gaathi mein 25 hazaar fouji daston ki mazeed taenati ki gayi hai.
Kashmir mein siyahoun aur Amarnath yatriyoun ke liye waadi chodhne ke taaza halaat se yahan ke logon ke darmiyan khauf ka mahol paeda hogaya hai. ziyada tar log Article35A se mutaliq khabroun par izhaar-e-khayaal kar rahay hain to aam kashmiriyoun ke liye, fil haal tarjeeh bikul mukhtalif hai. woh law and order ki haalat bigadney ke khadshaat ke darmiyan, fori tor par ration, adwiyaat, khordani tail, namak, chai, daal , sabziyan aur deegar zurori ashya zakheera karne ko tarjeeh day rahay hain.
Iske sath hi ATM, dawa ki dukaanoun par bheedh lag gayi hai. sath hi logon ne khanay ka samaan, pani aur zurori samaan ikhatta karna shuru kar diya hai. Petrol pumps par bhaari bheedh jama ho rahi hai.
Aur waadi mein yeh afwahen gasht kar rahi hain ke markazi hukoomat Article35A ko mansookh karsakti hai. wazeh rahay ke jammu Kashmir ko khusoosi muaqqaf ata karne wali aeen hind ke Article35A se mutaliq case is waqt supreme court mein zair-e-samaat hai.
Kisi ko kuch pata nahi ke kiya honay wala hai, bas afwahen gasht kar rahi hain, governor Satiya Pal Malik aur unke musheeroun ne usay ”Junglee afwaah qarar diya. unhon ne kaha ke Kashmir afwahon ka markaz raha hai. magar sab kuch theek aur mamool ke mutabiq hai. unhon ne kaha ke Article35A ko mansookh karne ka kisi bhi satah par koi mansoobah nahi hai.
Jab pichle hafta waadi mein mazeed 10,000 name fouji dastay laaye gay they, to usay Security forces ki mamool ki tehreek kaha gaya tha. khabron ke mutabiq 250 mazeed companiyoun ( ek company mein taqreeban 100 ke qareeb mard ) ko Srinagar pounchanay ka hukum diya gaya hai. aala zaraye ne bataya ke 70 companiyoun ko Srinagar pounchanay ka hukum diya gaya tha, jinmein 34 yaha pohanch chuki hain.
Aur hassas maqamat par fouji daston ki gasht jaree hai. it-tila-aat ke mutabiq mobile phone, solar aur fixed line internet ki sahoolat bhi khatam kar dijayegi. mubayyana tor par tamam cable TV operators ko operation band karne liye kaha gaya hai.
Reyasti police aur fouji daston samait hassas maqamat CRPF, BSF, CBI aur ITBP ne apne qabza mein le liya hai, is se yeh sawal paeda hotay hain ke aakhir markaz kiya karna chahta hai? jis tarha pichle dinoun lok sabha aur Rajya sabha mein opposition ki mukhalfat ke bawajood teen Talaq bil, mantoor karaliya, sath hi national medical bill ( NMC ) aur unlawful activites ( prevention ) amendment bill “ko Manzoor paas kiya gaya. isi tarha Article35A ko mansookh karne ki qabal az waqt tayari to nahi hai.
Yeh ek aisa sawal hai jo un dinon kashmiri awam aur siyasi qaideen ke zehnon mein chal raha hai. jis se khauf wo haraas ka mahol hai. isi tashweesh ke beech, PDP sadar mehbooba mufti, peoples moment ke sarbarah Shah Faisal , Peoples conference ke leader sajjad lone aur Imran ansari ke ek wafad ne governor se mulaqaat ki thi.
Isi silsila mein riyasat Kashmir ke sabiq wazeer-r-aala Omar Abdullah ne reyasti governor Satiya Pal Malik se mulaqaat ki hai. governor se mulaqaat ke baad media numaindon se Omar Abdullah ne kaha ke, hamein pata nahi kiya ho raha hai. isliye ek wafad jis mein mein bhi shaamil hon, governor se pucha ke yeh sab kiya ho raha hai. hum ne Article35A aur Article 370 ko hatane ki khabar unke baaray mein bhi poocha hai, jis par unhon ne yaqeen dilaya hai ke aisa kuch bhi nahi horaha hai. magar hum jammu Kashmir par hukoomat ki taraf se parliament mein bayan chahtay hain. –YTN STAFF