Monday, April 21, 2025
HomeIndiaKashmir mein urdu akhbarat ki maang mein be-tahasha izafah

Kashmir mein urdu akhbarat ki maang mein be-tahasha izafah

Srinagar : Wadi Kashmir mein mawaslati nizaam aur internet per taqreeban ek mah se jaari pabandi ki wajah se muqami akhbarat bil-khushoos urdu zabaan mein shaya honay walay akhbarat ki maang mein izafah ho raha hai aur log muqami akhbarat ko hi khabroun ka mo-atbar zareya tasawwur karte hain.

Waadi mein bhi baqi mandah duniya ki tarhan social media tamam tarhan ki khabron ka zareya ban gaya tha jis ke nateejay mein akhbarat ki maang mein thodi kami waqay horahee thi lekin yahan mawaslati nizaam ek mah se musalsal mo-attal rehne ke baais muqami akhbarat ki maang mein izafah ho raha hai aur subah saweray hi logon ki choti choti toliyan chowrahon, sadak ke kinaroon ya dukanon par akhbar padhnay mein munhamik nazar aati hain.

Srinagar ke lal chowk mein waqay Pratab park mein mukhtalif muqami akhbarat ke padhnay mein ghark logoun ki ek touli ney media ko bataya ke mawaslati nizaam mo-attal rehne se muqami akhbar hi ab hamaray liye mutabar khabron ka zareya ban gaye hain.

unhon nay kaha ke hum social media ke zariye duniya bhar ke taaza tareen halaat wo waqeat se waaqif rehtay they lekin internet par guzishta qareeb ek mah se jari pabandi ki wajah se hum ab apni waadi kya apne ilaqay ke halaat se be-khabar hain yahi wajah hai ke hum subah saweray gharon se nikal kar muqami akhbarat khareed kar kam se kam apne gird wa pesh ke taaza halaat waqeat se ba-khabar ho jatay hain.

Lal chowk srinagar se talluq rakhnay walay Altaf Ahmed Nami ek akhbar farosh nay kaha ke akhbarat ki maang mein har guzarte din ke sath izafah ho raha hai. unhon nay kaha ke muqami akhbarat ki maang mein har guzarte din ke sath izafah horaha hai, jin logon nay mujh se akhbar lena chodh diya tha woh ab dobarah mere paas aakar akhbar khareed te hain balkay jo log kabhi bhi akhbar nahi padhte they woh bhi akhbar kharidte hain. Altaf Ahmed nay kaha ke pehlay mein akhbar khareedne walon ke intzaar mein baetha rehta tha ab woh log mera intezaar karte hain. –YTN STAFF